Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar itab sarapa mizaj barham hai

Faizi Nizam Puri

nazar itab sarapa mizaj barham hai

Faizi Nizam Puri

MORE BYFaizi Nizam Puri

    nazar itaab sarāpā mizāj barham hai

    zahe-nasīb ye ehsān-e-husn kyā kam hai

    nafas nafas meñ ka.ī inqalāb pinhāñ haiñ

    nazar nazar meñ tirī bijliyoñ aalam hai

    ham apnī koshish-e-paiham se baaz kyoñ aa.eñ

    abhī to pesh-e-nazar ye nizām-e-ālam hai

    umiid thī ki masarrat ke giit gā.eñge

    magar hanūz zabāñ par fasāna-e-ġham hai

    kabhī to yaas duniyā badal jā.egī

    ye dekhnā hai hamārā bhī azm mohkam hai

    urūs-e-dahr zulfeñ sañvārne vaalo

    kuchh apne hāl-e-pareshāñ bhī tumheñ ġham hai

    nikal rahī hai har ik dil se aah ai 'faizī'

    tirī ġhazal har ik sher nashtar-e-ġham hai

    nazar itab sarapa mizaj barham hai

    zahe-nasib ye ehsan-e-husn kya kam hai

    nafas nafas mein kai inqalab pinhan hain

    nazar nazar mein teri bijliyon ka aalam hai

    hum apni koshish-e-paiham se baz kyon aaen

    abhi to pesh-e-nazar ye nizam-e-alam hai

    umid thi ki masarrat ke git gaenge

    magar hanuz zaban par fasana-e-gham hai

    kabhi to yas ki duniya badal hi jaegi

    ye dekhna hai hamara bhi azm mohkam hai

    urus-e-dahr ki zulfen sanwarne walo

    kuchh apne haal-e-pareshan ka bhi tumhein gham hai

    nikal rahi hai har ek dil se aah ai 'faizi'

    teri ghazal ka har ek sher nashtar-e-gham hai

    Source:

    (Pg. 85)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now