Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ka nashsha badan ka KHumar TuT gaya

Tariq Butt

nazar ka nashsha badan ka KHumar TuT gaya

Tariq Butt

MORE BYTariq Butt

    nazar nashsha badan ḳhumār TuuT gayā

    ki ab vo ā.īna-e-e'tibār TuuT gayā

    batā.eñ kyā tumheñ ab lamha-e-qarār baat

    zarā der ko chamkā sharār TuuT gayā

    koī ḳhayāl hai saa.e tarah saath mire

    akele-pan bhī mere hisār TuuT gayā

    shikast khaa.ī na maiñ ne fareb duniyā se

    dil is nabard meñ go baar baar TuuT gayā

    uTho ki aur koī rishta ustuvār kareñ

    jise thā TūTnā 'tāriq' vo taar TuuT gayā

    nazar ka nashsha badan ka KHumar TuT gaya

    ki ab wo aaina-e-e'tibar TuT gaya

    bataen kya tumhein ab lamha-e-qarar ki baat

    zara si der ko chamka sharar TuT gaya

    koi KHayal hai sae ki tarah sath mere

    akele-pan ka bhi mere hisar TuT gaya

    shikast khai na main ne fareb duniya se

    dil is nabard mein go bar bar TuT gaya

    uTho ki aur koi rishta ustuwar karen

    jise tha TuTna 'tariq' wo tar TuT gaya

    Source:

    Sada-e-mosam-e-gul (Pg. B-80 E-76)

    • Author: Tariq Butt
      • Edition: 1997
      • Publisher: Robeena Naz Tarique
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now