Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ke pas rah kar bhi pahunch se dur ho jaana

Ahmad Musharraf Khawar

nazar ke pas rah kar bhi pahunch se dur ho jaana

Ahmad Musharraf Khawar

MORE BYAhmad Musharraf Khawar

    nazar ke paas rah kar bhī pahuñch se duur ho jaanā

    mohabbat meñ ise kahte haiñ ham majbūr ho jaanā

    ḳhushā ai dil mudāvā un ke zaḳhmoñ nahīñ varna

    kahāñ har zaḳhm qismat meñ hai nāsūr ho jaanā

    baḌhānā is tarah se be-qarārī aur bhī dil

    jhalak ushshāq ko dikhlā ke phir mastūr ho jaanā

    mohabbat hamārā dā.era bas ittibā.a tak hai

    hameñ zebā nahīñ hai sarmad-o-mansūr ho jaanā

    nazar chhalke na chhalke munhasir hai zarf par lekin

    hai pahlī shart dil dard se māmūr ho jaanā

    nazar ko tāb-e-nazzāra rahī hai tere jalvoñ

    ki lāzim to nahīñ har jalva-gah tuur ho jaanā

    tujhe lene ehsās is ko kahte haiñ shāyad

    tire aariz ko chhū kar zulf maġhrūr ho jaanā

    hameñ kyā raas aa.e bāda-o-sāġhar ki apnā to

    nigāhoñ pe hai un munhasir maḳhmūr ho jaanā

    libās-e-ḳhāk se jab mirī saarī fazīlat hai

    to kyūñ-kar zeb hai mujh ko bhalā phir nuur ho jaanā

    nazar ke pas rah kar bhi pahunch se dur ho jaana

    mohabbat mein ise kahte hain hum majbur ho jaana

    KHusha ai dil mudawa un ke zaKHmon ka nahin warna

    kahan har zaKHm ki qismat mein hai nasur ho jaana

    baDhana is tarah se be-qarari aur bhi dil ki

    jhalak ushshaq ko dikhla ke phir mastur ho jaana

    mohabbat ka hamara daera bas ittibaa tak hai

    hamein zeba nahin hai sarmad-o-mansur ho jaana

    nazar chhalke na chhalke munhasir hai zarf par lekin

    hai pahli shart dil ka dard se mamur ho jaana

    nazar ko tab-e-nazzara rahi hai tere jalwon ki

    ki lazim to nahin har jalwa-gah ka tur ho jaana

    tujhe pa lene ka ehsas is ko kahte hain shayad

    tere aariz ko chhu kar zulf ka maghrur ho jaana

    hamein kya ras aae baada-o-saghar ki apna to

    nigahon pe hai un ki munhasir maKHmur ho jaana

    libas-e-KHak hi se jab meri sari fazilat hai

    to kyun-kar zeb hai mujh ko bhala phir nur ho jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now