Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ke samne sahra-e-be-panahi hai

Arman Najmi

nazar ke samne sahra-e-be-panahi hai

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    nazar ke sāmne sahrā-e-be-panāhī hai

    qarīb o duur mire baḳht siyāhī hai

    ufuq ke paar kabhī dekhne nahīñ detī

    sharīk raah umīdoñ kam-nigāhī hai

    bharā paḌā thā ghar is ḳhushī ke siile se

    ye kyā huā ki vo ab rāste raahī hai

    vo zehan ho to harīfoñ chaal bhī sīkheñ

    hamāre paas faqat uzr-e-be-gunāhī hai

    ukhaḌte qadmoñ āvāz mujh se kahtī hai

    shikast nahīñ ye dā.imī tabāhī hai

    adad kamīñ meñ hai aage ye kyā patā us ko

    rah-e-farār meñ haarā huā sipāhī hai

    nazar ke samne sahra-e-be-panahi hai

    qarib o dur mere baKHt ki siyahi hai

    ufuq ke par kabhi dekhne nahin deti

    sharik rah umidon ki kam-nigahi hai

    bhara paDa tha ghar is ka KHushi ke sile se

    ye kya hua ki wo ab raste ka rahi hai

    wo zehan ho to harifon ki chaal bhi sikhen

    hamare pas faqat uzr-e-be-gunahi hai

    ukhaDte qadmon ki aawaz mujh se kahti hai

    shikast hi nahin ye daimi tabahi hai

    adad kamin mein hai aage ye kya pata us ko

    rah-e-farar mein haara hua sipahi hai

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 266)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition:  39 (Quarterly)
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication:  39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now