nazar ke sath zauq-e-dur-bini bhi to de ya-rab
nazar ke saath zauq-e-dūr-bīnī bhī to de yā-rab
faqat in kor-chashmoñ ko nazar dene se kyā hogā
charāġh-e-sub.h kab tak TimTimā.egā sar-e-mahfil
dam-e-āḳhir mujhe merī ḳhabar dene se kyā hogā
maqām-e-'ishq meñ soz-e-jigar kī bhī zarūrat hai
bashar ko sirf me’rāj-e-nazar dene se kyā hogā
nigāh-e-'ishq meñ nūr-e-sahar kī 'umr hī kyā hai
shab-e-tārīk ko nūr-e-sahar dene se kyā hogā
jo mahrūm-e-junūn-e-'ishq hai begāna-e-ġham hai
use sarmāya-e-husn-e-nazar dene se kyā hogā
tū un kā vā'da-e-fardā na le kar aa.iyo qāsid
ki tishna-lab ko ḳhālī jām-e-zar dene se kyā hogā
munāsib thā koī paiġhām aatā un kī jānib se
marīz-e-ġham ko paiġhām-e-sahar dene se kyā hogā
ye aisī baat hai jis ko nazar vaale samajhte haiñ
bashar ko daulat-e-soz-e-jigar dene se kyā hogā
ziyāda se ziyāda sharm se vo sar jhukā leñge
unheñ 'bismil' ke marne kī ḳhabar dene se kyā hogā
nazar ke sath zauq-e-dur-bini bhi to de ya-rab
faqat in kor-chashmon ko nazar dene se kya hoga
charagh-e-subh kab tak TimTimaega sar-e-mahfil
dam-e-aKHir mujhe meri KHabar dene se kya hoga
maqam-e-'ishq mein soz-e-jigar ki bhi zarurat hai
bashar ko sirf me’raj-e-nazar dene se kya hoga
nigah-e-'ishq mein nur-e-sahar ki 'umr hi kya hai
shab-e-tarik ko nur-e-sahar dene se kya hoga
jo mahrum-e-junun-e-'ishq hai begana-e-gham hai
use sarmaya-e-husn-e-nazar dene se kya hoga
tu un ka wa'da-e-farda na le kar aaiyo qasid
ki tishna-lab ko KHali jam-e-zar dene se kya hoga
munasib tha koi paigham aata un ki jaanib se
mariz-e-gham ko paigham-e-sahar dene se kya hoga
ye aisi baat hai jis ko nazar wale samajhte hain
bashar ko daulat-e-soz-e-jigar dene se kya hoga
ziyaada se ziyaada sharm se wo sar jhuka lenge
unhen 'bismil' ke marne ki KHabar dene se kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.