Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ki ruh ki dil ki saubaten bhi gain

Khaleel Farhat Karanjavi

nazar ki ruh ki dil ki saubaten bhi gain

Khaleel Farhat Karanjavi

MORE BYKhaleel Farhat Karanjavi

    nazar ruuh dil sa.ūbateñ bhī ga.iiñ

    gayā shabāb to vo saarī uljhaneñ bhī ga.iiñ

    ga.ī javānī to aa.ī shu.ūr daulat

    qadam qadam pe zamāne se ranjisheñ bhī ga.iiñ

    shab-e-visāl armāñ na fikr-e-shām-e-alam

    vo kārobār-e-junūñ navāzisheñ bhī ga.iiñ

    safed baal hue tāñk-jhāñk meñ haa.il

    kahāñ shauq-e-nazāra basārteñ bhī ga.iiñ

    junūn-e-ishq bhī ruḳhsat huā shabāb ke saath

    vo ratjagoñ purānī rivāyateñ bhī ga.iiñ

    gunāh hashr meñ Thahrī gunāh hasrat

    gunāh bhī na kiye aur jannateñ bhī ga.iiñ

    ḳhayāl-e-gesū-e-jānāñ safed riish meñ gum

    vo chashm-o-lab ke tasavvur lazzateñ bhī ga.iiñ

    butoñ chaah ne kāfir banā diyā thā hameñ

    ḳhudā shukr hai 'farhat' vo ādateñ bhī ga.iiñ

    nazar ki ruh ki dil ki saubaten bhi gain

    gaya shabab to wo sari uljhanen bhi gain

    gai jawani to aai shuur ki daulat

    qadam qadam pe zamane se ranjishen bhi gain

    shab-e-visal ka arman na fikr-e-sham-e-alam

    wo karobar-e-junun ki nawazishen bhi gain

    safed baal hue tank-jhank mein hail

    kahan ka shauq-e-nazara basarten bhi gain

    junun-e-ishq bhi ruKHsat hua shabab ke sath

    wo ratjagon ki purani riwayaten bhi gain

    gunah hashr mein Thahri gunah ki hasrat

    gunah bhi na kiye aur jannaten bhi gain

    KHayal-e-gesu-e-jaanan safed rish mein gum

    wo chashm-o-lab ke tasawwur ki lazzaten bhi gain

    buton ki chah ne kafir bana diya tha hamein

    KHuda ka shukr hai 'farhat' wo aadaten bhi gain

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 139)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now