Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ko phir koi chehra dikhaya ja raha hai

Irfan Sattar

nazar ko phir koi chehra dikhaya ja raha hai

Irfan Sattar

MORE BYIrfan Sattar

    nazar ko phir koī chehra dikhāyā rahā hai

    ye tum ḳhud ho ki mujh ko āzmāyā rahā hai

    bahut āsūdgī se roz-o-shab kaTne lage haiñ

    mujhe mālūm hai mujh ko gañvāyā rahā hai

    sar-e-mizhgāñ bagūle aa ke vāpas rahe haiñ

    ajab tūfān siine se uThāyā rahā hai

    mirā ġham hai agar kuchh muḳhtalif to is binā par

    mire ġham ko hañsī meñ kyuuñ uḌāyā rahā hai

    badan kis taur shāmil thā mire kār-e-junūñ meñ

    mire dhoke meñ us ko kyuuñ miTāyā rahā hai

    vo dīvār-e-anā jis ne mujhe tanhā kiyā thā

    usī dīvār ko mujh meñ girāyā rahā hai

    mirī ḳhushiyoñ meñ terī is ḳhushī ko kyā kahūñ maiñ

    charāġh-e-ārzū tujh ko bujhāyā rahā hai

    ḳhirad sādgī dekho ki zāhir halatoñ se

    mirī vahshat andāza lagāyā rahā hai

    abhī ai bād-e-vahshat is taraf ruḳh na karnā

    yahāñ mujh ko bikharne se bachāyā rahā hai

    nazar ko phir koi chehra dikhaya ja raha hai

    ye tum KHud ho ki mujh ko aazmaya ja raha hai

    bahut aasudgi se roz-o-shab kaTne lage hain

    mujhe malum hai mujh ko ganwaya ja raha hai

    sar-e-mizhgan bagule aa ke wapas ja rahe hain

    ajab tufan sine se uThaya ja raha hai

    mera gham hai agar kuchh muKHtalif to is bina par

    mere gham ko hansi mein kyun uDaya ja raha hai

    badan kis taur shamil tha mere kar-e-junun mein

    mere dhoke mein us ko kyun miTaya ja raha hai

    wo diwar-e-ana jis ne mujhe tanha kiya tha

    usi diwar ko mujh mein giraya ja raha hai

    meri KHushiyon mein teri is KHushi ko kya kahun main

    charagh-e-arzu tujh ko bujhaya ja raha hai

    KHirad ki sadgi dekho ki zahir halaton se

    meri wahshat ka andaza lagaya ja raha hai

    abhi ai baad-e-wahshat is taraf ka ruKH na karna

    yahan mujh ko bikharne se bachaya ja raha hai

    Source:

    Takrar-e-saa.at (Pg. 74)

    • Author: Irfan Sattar
      • Edition: 2016
      • Publisher: Dehleez Publication
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now