Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ko wusaten de bijliyon se aashna kar de

Zahiir Ahmad Taaj

nazar ko wusaten de bijliyon se aashna kar de

Zahiir Ahmad Taaj

MORE BYZahiir Ahmad Taaj

    nazar ko vus.ateñ de bijliyoñ se āshnā kar de

    fasāna tuur tajdīd ai jazb-e-rasā kar de

    miTā de zauq-e-mahviyyat se ḳhalvat aur jalvat ko

    agar kar sake dil ko harīm-e-dil-rubā kar de

    hijābāt-e-nazar kab tak kahāñ tak dil mahrūmī

    madad ai shauq nazroñ ko qayāmat-āzmā kar de

    banā hai mai-kada ahl-e-havas bazm ai saaqī

    tirā tark-e-ta.alluq dekhnā jaane na kyā kar de

    ba-majbūrī ba-āḳhir ye mujhe kahnā paḌtā hai

    bahut pur-fan huī duniyā nigāhoñ ko ḳhafā kar de

    tire naġhme surūr-o-kaif meñ ai 'tāj' Dhalte haiñ

    hadīs-e-husn-o-ulfat ko diloñ mudda.ā kar de

    nazar ko wusaten de bijliyon se aashna kar de

    fasana tur ka tajdid ai jazb-e-rasa kar de

    miTa de zauq-e-mahwiyyat se KHalwat aur jalwat ko

    agar tu kar sake dil ko harim-e-dil-ruba kar de

    hijabaat-e-nazar kab tak kahan tak dil ki mahrumi

    madad ai shauq nazron ko qayamat-azma kar de

    bana hai mai-kada ahl-e-hawas ki bazm ai saqi

    tera tark-e-talluq dekhna jaane na kya kar de

    ba-majburi ba-aKHir ye mujhe kahna hi paDta hai

    bahut pur-fan hui duniya nigahon ko KHafa kar de

    tere naghme surur-o-kaif mein ai 'taj' Dhalte hain

    hadis-e-husn-o-ulfat ko dilon ka muddaa kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now