Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar-nawaz nazaron se baat karta hun

Qaisar Nizami

nazar-nawaz nazaron se baat karta hun

Qaisar Nizami

MORE BYQaisar Nizami

    nazar-navāz nazāroñ se baat kartā huuñ

    sukūñ nasīb sahāroñ se baat kartā huuñ

    ulajh rahā hai jo ḳhāroñ meñ phir se ye dāman

    ḳhizāñ ba-dosh bahāroñ se baat kartā huuñ

    tumhāre ishq meñ tum se judā judā rah kar

    ġham-e-firāq ke māroñ se baat kartā huuñ

    tire baġhair ye aalam are ma.āz-allāh

    falak ke chāñd sitāroñ se baat kartā huuñ

    vufūr-e-ashk se ye haal ho gayā 'qaisar'

    yam-e-alam ke kināroñ se baat kartā huuñ

    nazar-nawaz nazaron se baat karta hun

    sukun nasib sahaaron se baat karta hun

    ulajh raha hai jo KHaron mein phir se ye daman

    KHizan ba-dosh bahaaron se baat karta hun

    tumhaare ishq mein tum se juda juda rah kar

    gham-e-firaq ke maron se baat karta hun

    tere baghair ye aalam are maaz-allah

    falak ke chand sitaron se baat karta hun

    wufur-e-ashk se ye haal ho gaya 'qaisar'

    yam-e-alam ke kinaron se baat karta hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    nazar-nawaz nazaron se baat karta hun Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now