Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar nazar mein ada-e-jamal rakhte the

Ghulam Mohammad Qasir

nazar nazar mein ada-e-jamal rakhte the

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    nazar nazar meñ adā-e-jamāl rakhte the

    ham ek shaḳhs kitnā ḳhayāl rakhte the

    jabīñ pe aane na dete the ik shikan bhī kabhī

    agarche dil meñ hazāroñ malāl rakhte the

    ḳhushī usī hamesha nazar meñ rahtī thī

    aur apnī quvvat-e-ġham bhī bahāl rakhte the

    bas ishtiyāq-e-takallum meñ bār-hā ham log

    javāb dil meñ zabāñ par savāl rakhte the

    usī se karte the ham roz o shab andāza

    zamīñ pe rah ke vo sūraj chaal rakhte the

    junūñ jaam mohabbat mai ḳhirad ḳhumār

    hamīñ the vo jo ye saare kamāl rakhte the

    chhupā ke apnī sisaktī sulagtī sochoñ se

    mohabbatoñ ke uruuj o zavāl rakhte the

    kuchh un husn bhī thā māvarā misāloñ se

    kuchh apnā ishq bhī ham be-misāl rakhte the

    ḳhatā nahīñ jo khile phuul rāh-e-sarsar meñ

    ye jurm hai ki vo fikr-e-ma.āl rakhte the

    nazar nazar mein ada-e-jamal rakhte the

    hum ek shaKHs ka kitna KHayal rakhte the

    jabin pe aane na dete the ek shikan bhi kabhi

    agarche dil mein hazaron malal rakhte the

    KHushi usi ki hamesha nazar mein rahti thi

    aur apni quwwat-e-gham bhi bahaal rakhte the

    bas ishtiyaq-e-takallum mein bar-ha hum log

    jawab dil mein zaban par sawal rakhte the

    usi se karte the hum roz o shab ka andaza

    zamin pe rah ke wo suraj ki chaal rakhte the

    junun ka jam mohabbat ki mai KHirad ka KHumar

    hamin the wo jo ye sare kamal rakhte the

    chhupa ke apni sisakti sulagti sochon se

    mohabbaton ke uruj o zawal rakhte the

    kuchh un ka husn bhi tha mawara misalon se

    kuchh apna ishq bhi hum be-misal rakhte the

    KHata nahin jo khile phul rah-e-sarsar mein

    ye jurm hai ki wo fikr-e-maal rakhte the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now