Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar ne kaam kiya dil ke tarjuman ki tarah

Riyasat Ali Taj

nazar ne kaam kiya dil ke tarjuman ki tarah

Riyasat Ali Taj

MORE BYRiyasat Ali Taj

    nazar ne kaam kiyā dil ke tarjumāñ tarah

    nigāheñ kah ga.ī sab hāl-e-dil zabāñ tarah

    kiye the be-ḳhudī-e-shauq meñ jahāñ sajde

    vahī zamīñ nazar aatī hai āsmāñ tarah

    nazar milī hai to pahchān jaa.e ahl-e-chaman

    dikhā.ī dete haiñ gulchīñ bhī bāġhbāñ tarah

    kitāb-e-zīst shīrāza-band koī nahīñ

    bikhar ga.ī hai kisī nazm-e-bostān tarah

    na barg-o-bār na shādābiyāñ na ġhuncha-o-gul

    yahī bahār agar hai to hai ḳhizāñ tarah

    tumhāre shahr meñ muddat se ye tamannā hai

    dikhā.ī de koī be-mehr mehrbāñ tarah

    ḳhudā-gavāh ki ik umr asāsa hai

    na kyuuñ aziiz rakhūñ ilm-o-fan ko jaañ tarah

    kise batā.eñ ki the ham bhī ham-nashīñ ai 'saif'

    vo 'tāj' bhuul ga.e yād-e-raftagāñ tarah

    nazar ne kaam kiya dil ke tarjuman ki tarah

    nigahen kah gai sab haal-e-dil zaban ki tarah

    kiye the be-KHudi-e-shauq mein jahan sajde

    wahi zamin nazar aati hai aasman ki tarah

    nazar mili hai to pahchan jae ahl-e-chaman

    dikhai dete hain gulchin bhi baghban ki tarah

    kitab-e-zist ka shiraaza-band koi nahin

    bikhar gai hai kisi nazm-e-bostan ki tarah

    na barg-o-bar na shadabiyan na ghuncha-o-gul

    yahi bahaar agar hai to hai KHizan ki tarah

    tumhaare shahr mein muddat se ye tamanna hai

    dikhai de koi be-mehr mehrban ki tarah

    KHuda-gawah ki ek umr ka asasa hai

    na kyun aziz rakhun ilm-o-fan ko jaan ki tarah

    kise bataen ki the hum bhi ham-nashin ai 'saif'

    wo 'taj' bhul gae yaad-e-raftagan ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now