Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar nishane pe thi tir bhi kaman mein tha

Sabir Chaudhri

nazar nishane pe thi tir bhi kaman mein tha

Sabir Chaudhri

MORE BYSabir Chaudhri

    nazar nishāne pe thī tiir bhī kamān meñ thā

    havā chalegī achānak kahāñ gumān meñ thā

    mujhe bhī karnā vahī thā jo kar diyā us ne

    pe ek ḳhauf-e-ḳhudā thā jo darmiyān meñ thā

    zamīñ boyā bhī kyā āsmāñ pe kaTnā thā

    kiye dhare natīja isī jahān meñ thā

    hazār rang the jo dasht meñ bhaTakte the

    aur ek lams baḌī der se machān meñ thā

    maiñ ek umr falak par nazar jamā.e rahā

    palaT ke dekhā to vo mere makān meñ thā

    so ḳhāndān saarī duā.eñ merī thiiñ

    duāoñ ke liye bas maiñ ḳhāndān meñ thā

    hamārī umr thī 'sābir' dhuāñ uḌāne

    ḳhabar nahīñ thī ki hāsil to ḳhāk-dān meñ thā

    nazar nishane pe thi tir bhi kaman mein tha

    hawa chalegi achanak kahan guman mein tha

    mujhe bhi karna wahi tha jo kar diya us ne

    pe ek KHauf-e-KHuda tha jo darmiyan mein tha

    zamin ka boya bhi kya aasman pe kaTna tha

    kiye dhare ka natija isi jahan mein tha

    hazar rang the jo dasht mein bhaTakte the

    aur ek lams baDi der se machan mein tha

    main ek umr falak par nazar jamae raha

    palaT ke dekha to wo mere hi makan mein tha

    so KHandan ki sari duaen meri thin

    duaon ke liye bas main hi KHandan mein tha

    hamari umr thi 'sabir' dhuan uDane ki

    KHabar nahin thi ki hasil to KHak-dan mein tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now