Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar se dur hote ja rahe hain

Khawaja Javed Akhtar

nazar se dur hote ja rahe hain

Khawaja Javed Akhtar

MORE BYKhawaja Javed Akhtar

    nazar se duur hote rahe haiñ

    sarāpā nuur hote rahe haiñ

    jinheñ badnām karnā chāhte ho

    vahī mash.hūr hote rahe haiñ

    ham āġhāz-e-safar se pahle kyuuñ

    thakan se chuur hote rahe haiñ

    baḌhī hai raushnī tahzīb-e-nau

    makāñ be-nūr hote rahe haiñ

    har ik apnā janāza Dho rahā hai

    sabhī mazdūr hote rahe haiñ

    khile the phuul zaḳhmoñ ke jo ik din

    vo ab nāsūr hote rahe haiñ

    nazar se dur hote ja rahe hain

    sarapa nur hote ja rahe hain

    jinhen badnam karna chahte ho

    wahi mashhur hote ja rahe hain

    hum aaghaz-e-safar se pahle hi kyun

    thakan se chur hote ja rahe hain

    baDhi hai raushni tahzib-e-nau ki

    makan be-nur hote ja rahe hain

    har ek apna janaza Dho raha hai

    sabhi mazdur hote ja rahe hain

    khile the phul zaKHmon ke jo ek din

    wo ab nasur hote ja rahe hain

    Source:

    Neend Shart Nahin (Pg. 80)

    • Author: Khawaja Jawed Akhtar
      • Edition: 2010
      • Publisher: Shabkhoon Kitabghar Allahabad
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now