Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar tak aaya hai pahchan tak nahin aaya

Kamran Nadeem

nazar tak aaya hai pahchan tak nahin aaya

Kamran Nadeem

MORE BYKamran Nadeem

    nazar tak aayā hai pahchān tak nahīñ aayā

    ye vāhima abhī imkān tak nahīñ aayā

    jarāhat-e-ġham-e-daurāñ ibtidā kahiye

    dil-e-jahāñ-zada paikān tak nahīñ aayā

    vo aur baat ki jaañ amaan māñgī thī

    maiñ us bai.at-o-paikāñ tak nahīñ aayā

    bas us ke lams ilhām utartā hai

    vo mere mus.haf-e-vijdān tak nahīñ aayā

    ye zindagī to nafī meñ guzār maiñ ne

    par us ke halqa-e-mīzān tak nahīñ aayā

    kitāb-e-husn ta.abīr ḳhair kyā kartā

    'nadīm' aa.ina unvān tak nahīñ aayā

    nazar tak aaya hai pahchan tak nahin aaya

    ye wahima abhi imkan tak nahin aaya

    jarahat-e-gham-e-dauran ki ibtida kahiye

    dil-e-jahan-zada paikan tak nahin aaya

    wo aur baat ki jaan ki aman mangi thi

    main us ki baiat-o-paikan tak nahin aaya

    bas us ke lams ka ilham hi utarta hai

    wo mere mushaf-e-wijdan tak nahin aaya

    ye zindagi to nafi mein guzar di main ne

    par us ke halqa-e-mizan tak nahin aaya

    kitab-e-husn ki tabir KHair kya karta

    'nadim' aaina unwan tak nahin aaya

    Source:

    Vahshat Hi Sahi (Pg. 111)

    • Author: Kamran Nadeem
      • Publisher: Kamran Nadeem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now