Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazar udas hai dil mauj-e-iztirab mein hai

Aqeel Shatir Ansari

nazar udas hai dil mauj-e-iztirab mein hai

Aqeel Shatir Ansari

MORE BYAqeel Shatir Ansari

    nazar udaas hai dil mauj-e-iztirāb meñ hai

    tire baġhair mirī zindagī azaab meñ hai

    jo us ke dīda-e-badmast meñ hai ai saaqī

    kahāñ vo nashsha-o-mastī tirī sharāb meñ hai

    taḌap rahī hai nazar jis ko dekhne ke liye

    vo apnā chehra chhupā.e hue naqāb meñ hai

    basā ke pyaar ḳhushbū meñ jis ko bhejā thā

    abhī tak aap vo ḳhat mirī kitāb meñ hai

    maiñ husn-o-ishq bātoñ se kyoñ karūñ parhez

    mirī hayāt abhī ālam-e-shabāb meñ hai

    nigāheñ un mire dil pe hoñ na hoñ 'shātir'

    mirī ġhazal to hasīnoñ ke intiḳhāb meñ hai

    nazar udas hai dil mauj-e-iztirab mein hai

    tere baghair meri zindagi azab mein hai

    jo us ke dida-e-badmast mein hai ai saqi

    kahan wo nashsha-o-masti teri sharab mein hai

    taDap rahi hai nazar jis ko dekhne ke liye

    wo apna chehra chhupae hue naqab mein hai

    basa ke pyar ki KHushbu mein jis ko bheja tha

    abhi tak aap ka wo KHat meri kitab mein hai

    main husn-o-ishq ki baaton se kyon karun parhez

    meri hayat abhi aalam-e-shabab mein hai

    nigahen un ki mere dil pe hon na hon 'shatir'

    meri ghazal to hasinon ke intiKHab mein hai

    Source:

    Abhi Zinda Hun Main (Pg. 99)

    • Author: Aqeel Shatir Ansari
      • Publisher: Aqeel Shatir Ansari
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now