Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazm-e-hazir ka badalta hua andaz hain hum

Prem Narayan Saxena Raz

nazm-e-hazir ka badalta hua andaz hain hum

Prem Narayan Saxena Raz

MORE BYPrem Narayan Saxena Raz

    nazm-e-hāzir badaltā huā andāz haiñ ham

    ġhaur se sun ki na.e daur āvāz haiñ ham

    jaane kab pahuñchegī anjām ko tahzīb-e-bashar

    baad sadiyoñ ke bhī āġhāz āġhāz haiñ ham

    bajtī rahtī hai na.e giit sargam dil meñ

    be-navā.ī meñ bhī bajtā huā ik saaz haiñ ham

    hadiya-e-gosh-e-samā.at koī pesh kare

    karb-e-taḳhlīq meñ Duubī huī āvāz haiñ ham

    dahr ke dil meñ utartā hai jo nashtar tarah

    lab-e-fitrat vahī naġhma-e-e.ajāz haiñ ham

    rāt-din khulte haiñ asrār-e-do-ālam ham se

    apne aalam meñ magar aaj bhī ik 'rāz' haiñ ham

    nazm-e-hazir ka badalta hua andaz hain hum

    ghaur se sun ki nae daur ki aawaz hain hum

    jaane kab pahunchegi anjam ko tahzib-e-bashar

    baad sadiyon ke bhi aaghaz hi aaghaz hain hum

    bajti rahti hai nae git ki sargam dil mein

    be-nawai mein bhi bajta hua ek saz hain hum

    hadiya-e-gosh-e-samaat hi koi pesh kare

    karb-e-taKHliq mein Dubi hui aawaz hain hum

    dahr ke dil mein utarta hai jo nashtar ki tarah

    lab-e-fitrat ka wahi naghma-e-eajaz hain hum

    raat-din khulte hain asrar-e-do-alam hum se

    apne aalam mein magar aaj bhi ek 'raaz' hain hum

    Source:

    Aabshar-e-Naghma (Pg. 154)

    • Author: Prem Narayan Saxena Raz
      • Publisher: Shrimati Asha Saxena
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now