nazr-e-diwar kar diye gae hain
nazr-e-dīvār kar diye ga.e haiñ
rang be-kār kar diye ga.e haiñ
ḳhaak samjheñge ham ko ahl-e-nazar
jitne dushvār kar diye ga.e haiñ
ham bhī kyā sāda-lauh the lekin
kitne hushiyār kar diye ga.e haiñ
tiir the Dūbte hue manzar
aañkh se paar kar diye ga.e haiñ
jītnā kab tirā muqaddar thā
ham tujhe haar kar diye ga.e haiñ
jab se darbār ho ga.e haiñ chauk
chauk darbār kar diye ga.e haiñ
aap bezār the nahīñ ham se
aap bezār kar diye ga.e haiñ
nazr-e-diwar kar diye gae hain
rang be-kar kar diye gae hain
KHak samjhenge hum ko ahl-e-nazar
jitne dushwar kar diye gae hain
hum bhi kya sada-lauh the lekin
kitne hushiyar kar diye gae hain
tir the Dubte hue manzar
aankh se par kar diye gae hain
jitna kab tera muqaddar tha
hum tujhe haar kar diye gae hain
jab se darbar ho gae hain chauk
chauk darbar kar diye gae hain
aap bezar the nahin hum se
aap bezar kar diye gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.