Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nazzara-e-dilkash kabhi dekha hi nahin hai

Muskan Syed Riaz

nazzara-e-dilkash kabhi dekha hi nahin hai

Muskan Syed Riaz

MORE BYMuskan Syed Riaz

    nazzāra-e-dilkash kabhī dekhā nahīñ hai

    āñkhoñ meñ koī aks utartā nahīñ hai

    hairat hai ki tum par vo ayaañ ho gayā kaise

    qissa jo kabhī ham ne sunāyā nahīñ hai

    sau baar bahāroñ ne kiyā ruḳh mirī jānib

    mausam ye mire dil badaltā nahīñ hai

    kaise ho parakh ek kahānī se kisī

    kirdār kahānī meñ simaTtā nahīñ hai

    Dhalnā hai jise qaus-e-quzah meñ vo kiran huuñ

    Dar apne bikhar jaane lagtā nahīñ hai

    vo chāñd taġhayyur se kabhī baaz na aaya

    tārīkī-e-shab use parvā nahīñ hai

    nazzara-e-dilkash kabhi dekha hi nahin hai

    aankhon mein koi aks utarta hi nahin hai

    hairat hai ki tum par wo ayan ho gaya kaise

    qissa jo kabhi hum ne sunaya hi nahin hai

    sau bar bahaaron ne kiya ruKH meri jaanib

    mausam ye mere dil ka badalta hi nahin hai

    kaise ho parakh ek kahani se kisi ki

    kirdar kahani mein simaTta hi nahin hai

    Dhalna hai jise qaus-e-quzah mein wo kiran hun

    Dar apne bikhar jaane ka lagta hi nahin hai

    wo chand taghayyur se kabhi baz na aaya

    tariki-e-shab ki use parwa hi nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now