Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ne jam raha na to mai-KHana na hi shor kahin paimanon ka

Salaam Najmi

ne jam raha na to mai-KHana na hi shor kahin paimanon ka

Salaam Najmi

MORE BYSalaam Najmi

    ne jaam rahā na to mai-ḳhāna na shor kahīñ paimānoñ

    saaqī kahīñ par naam rahā aur naam kahīñ mastānoñ

    ai sham.a ise kyā samjheñ ham hañstī bhī hai rotī bhī hai

    hai bā.is-e-ġham vaj.h-e-ḳhushī jal mar miTnā parvānoñ

    hamdard jinheñ dil samjhā thā mat pūchhiye un se kyā paayā

    dukh-dard maskan dil hai banā maḳhzan thā kabhī armānoñ

    haq baat burī lagtī ho jahāñ har aib hunar ban jaa.e jahāñ

    aise meñ mile insāf kahāñ kyā kaam yahāñ mīzānoñ

    kyā dost agar hoñ dushman bhī aa jaa.eñ tire dar par jo kabhī

    āñkheñ bichhā.e 'najmī' dil rakh lenā mehmānoñ

    ne jam raha na to mai-KHana na hi shor kahin paimanon ka

    saqi ka kahin par nam raha aur nam kahin mastanon ka

    ai shama ise kya samjhen hum hansti bhi hai tu roti bhi hai tu

    hai bais-e-gham ya wajh-e-KHushi jal mar miTna parwanon ka

    hamdard jinhen dil samjha tha mat puchhiye un se kya paya

    dukh-dard ka maskan dil hai bana maKHzan tha kabhi armanon ka

    haq baat buri lagti ho jahan har aib hunar ban jae jahan

    aise mein mile insaf kahan kya kaam yahan mizanon ka

    kya dost agar hon dushman bhi aa jaen tere dar par jo kabhi

    aankhen tu bichhae ja 'najmi' dil rakh lena mehmanon ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now