Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah dil ke liye jal ke musawi hai

Rahman Hafeez

nigah dil ke liye jal ke musawi hai

Rahman Hafeez

MORE BYRahman Hafeez

    nigāh dil ke liye jaal ke musāvī hai

    ye ā.īna tirī timsāl ke musāvī hai

    ga.e dinoñ meñ jise badtarīn kahte the

    ab achchhā haal bhī us haal ke musāvī hai

    nazar jhukā.e paḌā huuñ maiñ apne paañv meñ

    ye mire liye pātāl ke musāvī hai

    qasam ḳhudā kisī aur par agar guzre

    ye kaifiyat kisī bhūñchāl ke musāvī hai

    samajh sakeñ to ye pal pal dhaḌaktā dil apnā

    shumār vaqt ke ghaḌiyāl ke musāvī hai

    mire savāl se le kar tire javāb talak

    zarā vaqfa ka.ī saal ke musāvī hai

    tumhārī yaad dastak hamārī dhaḌkan par

    tumhārī huī misscall ke musāvī hai

    nigah dil ke liye jal ke musawi hai

    ye aaina teri timsal ke musawi hai

    gae dinon mein jise badtarin kahte the

    ab achchha haal bhi us haal ke musawi hai

    nazar jhukae paDa hun main apne panw mein

    ye ja mere liye patal ke musawi hai

    qasam KHuda ki kisi aur par agar guzre

    ye kaifiyat kisi bhunchaal ke musawi hai

    samajh saken to ye pal pal dhaDakta dil apna

    shumar waqt ke ghaDiyal ke musawi hai

    mere sawal se le kar tere jawab talak

    zara sa waqfa kai sal ke musawi hai

    tumhaari yaad ki dastak hamari dhaDkan par

    tumhaari ki hui misscall ke musawi hai

    Source:

    Tasteer (Pg. 244)

      • Publisher: Book Corner, Pakistan
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now