Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-awwalin ki dilistani yaad aati hai

Tilok Chand Mahroom

nigah-e-awwalin ki dilistani yaad aati hai

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    nigāh-e-avvalīñ dilistānī yaad aatī hai

    kisī nā-mehrbāñ mehrbānī yaad aatī hai

    qarīb-e-shāḳh-e-gul hotī hai jab dastāñ-sarā bulbul

    hameñ bhī bhūlī-bisrī ik kahānī yaad aatī hai

    dil-e-nāshādmāñ ko aur bhī nāshād karne ko

    dil-e-nāshādmāñ shādmānī yaad aatī hai

    javānī aur bū-e-gul meñ rab kyā ta.alluq thā

    ki bū-e-gul se piirī meñ javānī yaad aatī hai

    ġhazal ab ḳhatm ho jaatī hai apnī pāñch sheroñ par

    javānī aur tabī.at ravānī yaad aatī hai

    nigah-e-awwalin ki dilistani yaad aati hai

    kisi na-mehrban ki mehrbani yaad aati hai

    qarib-e-shaKH-e-gul hoti hai jab dastan-sara bulbul

    hamein bhi bhuli-bisri ek kahani yaad aati hai

    dil-e-nashadman ko aur bhi nashad karne ko

    dil-e-nashadman ki shadmani yaad aati hai

    jawani aur bu-e-gul mein ya rab kya talluq tha

    ki bu-e-gul se piri mein jawani yaad aati hai

    ghazal ab KHatm ho jati hai apni panch sheron par

    jawani aur tabiat ki rawani yaad aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now