Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-faqr hi shan-e-sikandari jaane

Qurban Aatish

nigah-e-faqr hi shan-e-sikandari jaane

Qurban Aatish

MORE BYQurban Aatish

    nigāh-e-faqr shān-e-sikandarī jaane

    vahī hai shaah jo rāz-e-qalandarī jaane

    havā bikhertī mujh ko hai gard sūrat

    jahāñ meñ kaun hai jo merī be-gharī jaane

    bas ek tere sivā be-ḳhabar nahīñ koī

    hamārā haal to raste kañkarī jaane

    tirī adāoñ pahchān ḳhuub hai mujh ko

    tire karam koī kyā sitamgarī jaane

    mirī nigāh meñ kaun-o-makāñ bastī hai

    zamāna kyā mirā tarz-e-qalandarī jaane

    arsh-o-farsh pe āñkheñ Tikā.e rahtā hai

    kahāñ se terī tarah koī muḳhbirī jaane

    nigah-e-faqr hi shan-e-sikandari jaane

    wahi hai shah jo raaz-e-qalandari jaane

    hawa bikherti mujh ko hai gard ki surat

    jahan mein kaun hai jo meri be-ghari jaane

    bas ek tere siwa be-KHabar nahin koi

    hamara haal to raste ki kankari jaane

    teri adaon ki pahchan KHub hai mujh ko

    tere karam ki koi kya sitamgari jaane

    meri nigah mein kaun-o-makan ki basti hai

    zamana kya mera tarz-e-qalandari jaane

    tu arsh-o-farsh pe aankhen Tikae rahta hai

    kahan se teri tarah koi muKHbiri jaane

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now