Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-mast se ojhal hain manzilen dil ki

Chitra Bhardwaj suman

nigah-e-mast se ojhal hain manzilen dil ki

Chitra Bhardwaj suman

MORE BYChitra Bhardwaj suman

    nigāh-e-mast se ojhal haiñ manzileñ dil

    haiñ apnī āḳhirī sāñsoñ pe chāhateñ dil

    bahā.e jaatā hai dariyā-e-ishq āḳhir tak

    bhale laakh sambhāle hoñ dhaḌkaneñ dil

    zarā der bhī baiThā nahīñ gayā nazdīk

    havā ho ga.iiñ āvāra rāhateñ dil

    jo ḳhud ko qābil-e-kār-e-jahāñ bhī rakhnā thā

    to ham bhī ḳhaak kar Dāleñ ḳhvāhisheñ dil

    isī meñ chain-o-sukūñ kyoñ hai jis ne chhīnā hai

    samajh se raheñ bāhar haiñ sāzisheñ dil

    pakaḌ rahī ho thakan jab vajūd ke baazū

    uThā.e koī bhalā kaise vahshateñ dil

    ye kis galī se 'suman' ishq apnā guzrā hai

    lipaTtī ga.iiñ dāman se uljhaneñ dil

    nigah-e-mast se ojhal hain manzilen dil ki

    hain apni aaKHiri sanson pe chahaten dil ki

    bahae jata hai dariya-e-ishq aaKHir tak

    bhale hi lakh sambhaale hon dhaDkanen dil ki

    zara si der bhi baiTha nahin gaya nazdik

    hawa si ho gain aawara rahaten dil ki

    jo KHud ko qabil-e-kar-e-jahan bhi rakhna tha

    to hum bhi KHak hi kar Dalen KHwahishen dil ki

    isi mein chain-o-sukun kyon hai jis ne chhina hai

    samajh se hi rahen bahar hain sazishen dil ki

    pakaD rahi ho thakan jab wajud ke bazu

    uThae koi bhala kaise wahshaten dil ki

    ye kis gali se 'suman' ishq apna guzra hai

    lipaTti hi gain daman se uljhanen dil ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now