Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-muKHtasar se dastan tak baat ja pahunchi

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

nigah-e-muKHtasar se dastan tak baat ja pahunchi

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    nigāh-e-muḳhtasar se dāstāñ tak baat pahuñchī

    ḳhudā jaane kahāñ se ab kahāñ tak baat pahuñchī

    nigāhoñ zabāñ ne kah diyā jo kuchh na kahnā thā

    dil-e-sozāñ se jab ashk-e-ravāñ tak baat pahuñchī

    sañvar uTThī hai kyā zulf-e-zamīñ ab dast-e-insāñ se

    ki māh-o-mushtarī-o-āsmāñ tak baat pahuñchī

    huā to faisla dil ishāroñ meñ kunā.eñ meñ

    kahāñ vo lutf jab lafz-e-bayāñ tak baat pahuñchī

    balā se sāz-e-dil TuuTe sadā lekin na paidā ho

    huī rusvā mohabbat jab fuġhāñ tak baat pahuñchī

    ga.ī shāyad javānī aur gayā andāz-e-jur.at bhī

    ki ab andesha-e-sūd ziyāñ tak baat pahuñchī

    kabhī gulshan meñ apnā bhī nasheman thā chaman vaalo

    ḳhudā jaane ye kyoñ barq-e-tapāñ tak baat pahuñchī

    nazar be-bāk dil bebāk kyā parvā 'habīb' us

    yahāñ tak baat pahuñchī vahāñ tak baat pahuñchī

    nigah-e-muKHtasar se dastan tak baat ja pahunchi

    KHuda jaane kahan se ab kahan tak baat ja pahunchi

    nigahon ki zaban ne kah diya jo kuchh na kahna tha

    dil-e-sozan se jab ashk-e-rawan tak baat ja pahunchi

    sanwar uTThi hai kya zulf-e-zamin ab dast-e-insan se

    ki mah-o-mushtari-o-asman tak baat ja pahunchi

    hua to faisla dil ka ishaaron mein kunaen mein

    kahan wo lutf jab lafz-e-bayan tak baat ja pahunchi

    bala se saz-e-dil TuTe sada lekin na paida ho

    hui ruswa mohabbat jab fughan tak baat ja pahunchi

    gai shayad jawani aur gaya andaz-e-jurat bhi

    ki ab andesha-e-sud ziyan tak baat ja pahunchi

    kabhi gulshan mein apna bhi nasheman tha chaman walo

    KHuda jaane ye kyon barq-e-tapan tak baat ja pahunchi

    nazar be-bak dil bebak kya parwa 'habib' us ki

    yahan tak baat ja pahunchi wahan tak baat ja pahunchi

    Source:

    نغمۂ زندگی (Pg. 38)

    • Author: جے کرشن چودھری حبیب
      • Publisher: جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now