Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigah-e-tishna se hairat ka bab dekhte hain

Arman Najmi

nigah-e-tishna se hairat ka bab dekhte hain

Arman Najmi

MORE BYArman Najmi

    nigāh-e-tishna se hairat baab dekhte haiñ

    bisāt-e-āb pe raqs-e-sarāb dekhte haiñ

    ukhaḌte ḳhemoñ pe kyā qahr-e-shām TuuTā hai

    lahū meñ Duubā huā āftāb dekhte haiñ

    nahīñ hai qatre auqāt bhī jinheñ hāsil

    vo kam-nazar bhī samundar ke ḳhvāb dekhte haiñ

    unheñ to vaqt gardish asiir kar bhī chukī

    vo ab guzishta zamāne ḳhvāb dekhte haiñ

    hameñ to mauj-e-ravāñ bhī nazar nahīñ aatī

    vo log aur haiñ jo zer-e-āb dekhte haiñ

    dayār-e-shauq miTTī meñ kyā guhar nahīñ

    numū rut ko bhī be-āb-o-tāb dekhte haiñ

    sazā milegī hameñ to ziyā-ba-doshī

    charāġh-e-jāñ pe havā itaab dekhte haiñ

    milā nahīñ unheñ sairābī-e-vujūd lams

    ye dasht sadiyoñ se rāh-e-sahāb dekhte haiñ

    nigah-e-tishna se hairat ka bab dekhte hain

    bisat-e-ab pe raqs-e-sarab dekhte hain

    ukhaDte KHemon pe kya qahr-e-sham TuTa hai

    lahu mein Duba hua aaftab dekhte hain

    nahin hai qatre ki auqat bhi jinhen hasil

    wo kam-nazar bhi samundar ke KHwab dekhte hain

    unhen to waqt ki gardish asir kar bhi chuki

    wo ab guzishta zamane ka KHwab dekhte hain

    hamein to mauj-e-rawan bhi nazar nahin aati

    wo log aur hain jo zer-e-ab dekhte hain

    dayar-e-shauq ki miTTi mein kya guhar hi nahin

    numu ki rut ko bhi be-ab-o-tab dekhte hain

    saza milegi hamein to ziya-ba-doshi ki

    charagh-e-jaan pe hawa ka itab dekhte hain

    mila nahin unhen sairabi-e-wujud ka lams

    ye dasht sadiyon se rah-e-sahab dekhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now