Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nigahen uTh rahi hain meri jaanib ek zamane ki

Qamar usmani

nigahen uTh rahi hain meri jaanib ek zamane ki

Qamar usmani

MORE BYQamar usmani

    nigāheñ uTh rahī haiñ merī jānib ik zamāne

    bharam khul jā.egā koshish na kiije muskurāne

    zamāne ke sitam un jafā mirī fidā-kārī

    yahī shāyad baneñgī surḳhiyāñ mere fasāne

    jahāñ se bijliyoñ qāfila guzrā hai gulshan meñ

    vahīñ buniyād rakh chhoḌī hai maiñ ne āshiyāne

    ḳhizāñ ke ruḳh pe zahrīlā tabassum maiñ ne dekhā hai

    kalī ko mil ga.ī shāyad ijāzat muskurāne

    mashiyyat ye manshā hai maiñ tūfānoñ meñ ubharūñgā

    zamāna laakh kar le sāzisheñ mere miTāne

    nasīhat karne vaalo shukriya lekin ye batlāo

    kahāñ se lā.ūñ himmat un ke dar se lauT aane

    kabhī majbūri-e-hālāt meñ aisā bhī hotā hai

    safīnoñ ko huā kartī hai ḳhvāhish Duub jaane

    añdheroñ ne 'qamar' kyā kyā mirī rāhoñ ko rokā hai

    kabhī koshish jo maiñ ne koī sham.a jalāne ke

    nigahen uTh rahi hain meri jaanib ek zamane ki

    bharam khul jaega koshish na kije muskurane ki

    zamane ke sitam un ki jafa meri fida-kari

    yahi shayad banengi surKHiyan mere fasane ki

    jahan se bijliyon ka qafila guzra hai gulshan mein

    wahin buniyaad rakh chhoDi hai main ne aashiyane ki

    KHizan ke ruKH pe zahrila tabassum main ne dekha hai

    kali ko mil gai shayad ijazat muskurane ki

    mashiyyat ka ye mansha hai main tufanon mein ubharunga

    zamana lakh kar le sazishen mere miTane ki

    nasihat karne walo shukriya lekin ye batlao

    kahan se laun himmat un ke dar se lauT aane ki

    kabhi majburi-e-haalat mein aisa bhi hota hai

    safinon ko hua karti hai KHwahish Dub jaane ki

    andheron ne 'qamar' kya kya meri rahon ko roka hai

    kabhi koshish jo main ne ki koi shama jalane ke

    Source:

    Noor-o-Nikhat (Pg. 60)

    • Author: Qamar usmani
      • Publisher: Qamar usmani
      • Year of Publication: 1979
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now