nigar-KHana-e-atish hua hai sara badan
nigār-ḳhāna-e-ātish huā hai saarā badan
sulagte rahnā bhī kār-e-savāb ho gayā hai
vo ik ḳhayāl kabhī juzv-e-ārzū bhī na thā
vahī ḳhayāl junūñ kā nisāb ho gayā hai
ai āsmāñ tujhe ab bhī shikāyateñ haiñ bahut
zamīn kahtī hai saarā hisāb ho gayā hai
nigar-KHana-e-atish hua hai sara badan
sulagte rahna bhi kar-e-sawab ho gaya hai
wo ek KHayal kabhi juzw-e-arzu bhi na tha
wahi KHayal junun ka nisab ho gaya hai
ai aasman tujhe ab bhi shikayaten hain bahut
zamin kahti hai sara hisab ho gaya hai
- Book : Ishq (Pg. 137)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.