Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nihayat inkisari aajizi se baat karte hain

Shad Bilgavi

nihayat inkisari aajizi se baat karte hain

Shad Bilgavi

MORE BYShad Bilgavi

    nihāyat inkisārī ājizī se baat karte haiñ

    ham un se jab vo ham se be-ruḳhī se baat karte haiñ

    hamāre saath ho to muḳhtasar baat hotī hai

    chalā kartī hai pahroñ jab kisī se baat karte haiñ

    hameñ kahte haiñ dekho bha.ī kisī se baat mat karnā

    aur us par ḳhud jo miltā hai usī se baat karte haiñ

    tumhīñ ho ek jin ko baat karne salīqa hai

    hamīñ haiñ ek jo be-hūdgī se baat karte haiñ

    hue jaate ho kyuuñ kapḌoñ se bāhar ġhair san kar

    zarā baiTho tasallī dil-jamī se baat karte haiñ

    kisī se baat karte haiñ kisī baat hotī hai

    are baavā tumhārī kab kisī se baat karte haiñ

    baḌhā.e dostī haath dushman bhī tah-e-dil se

    lagā lete haiñ siine se ḳhushī se baat karte haiñ

    akele the taraste the kisī se baat karne ko

    to ham ne sochā aao 'shād' se baat karte haiñ

    nihayat inkisari aajizi se baat karte hain

    hum un se jab wo hum se be-ruKHi se baat karte hain

    hamare sath ho to muKHtasar si baat hoti hai

    chala karti hai pahron jab kisi se baat karte hain

    hamein kahte hain dekho bhai kisi se baat mat karna

    aur us par KHud jo milta hai usi se baat karte hain

    tumhin ho ek jin ko baat karne ka saliqa hai

    hamin hain ek jo be-hudgi se baat karte hain

    hue jate ho kyun kapDon se bahar ghair ki san kar

    zara baiTho tasalli dil-jami se baat karte hain

    kisi se baat karte hain kisi ki baat hoti hai

    are bawa tumhaari kab kisi se baat karte hain

    baDhae dosti ka hath dushman bhi tah-e-dil se

    laga lete hain sine se KHushi se baat karte hain

    akele the taraste the kisi se baat karne ko

    to hum ne socha aao 'shad' hi se baat karte hain

    Source:

    R oodad-e-Watan (Pg. 222)

    • Author: Shaad Bilgavi
      • Edition: 1985
      • Publisher: Shaad Publications
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now