Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nihatte aadmi pe baDh ke KHanjar tan leti hai

Aurang zeb

nihatte aadmi pe baDh ke KHanjar tan leti hai

Aurang zeb

MORE BYAurang zeb

    nihatte aadmī pe baḌh ke ḳhanjar taan letī hai

    mohabbat meñ na paḌ jaanā mohabbat jaan letī hai

    use ḳhāmosh dekhūñ to sunā.ī kuchh nahīñ detā

    dikhā.ī kuchh nahīñ detā nazar jab kaan letī hai

    udāsī āshnā hai is qadar aahaT se merī ab

    jahāñ se bhī guzartā huuñ mujhe pahchān letī hai

    ḳhushī to de detī hai tirī duniyā mujhe kar

    magar badle meñ vo us ke mirā īmān letī hai

    bas ik lamha lagātī hai ḳhushī aa kar guzarne meñ

    udāsī aa.e to sadiyoñ miTTī chhān letī hai

    barābar baañT detī hai vo sāñseñ ḳhāk-zādoñ meñ

    na-jāne zindagī kis dukāñ se bhaan letī hai

    isī ke saath chaltī hai ye manzil par pahuñchne tak

    ye rāh-e-ġham jise apnā musāfir jaan letī hai

    vo har machhlī jo machhlī ghar paidāvār ho sāhab

    vo machhlī ghar ko apnā samundar maan letī hai

    ham us ke haath pe rakh deñ zamīn-o-āsmāñ kar

    magar vo ham faqīroñ kahāñ ehsān letī hai

    sar-e-maqtal bikhar jaate haiñ is meñ Dūbne vaale

    mohabbat har qadam par ḳhuun tāvān letī hai

    agar bujhne se bachnā hai to lau se lau jalāo 'zeb'

    havā jalte charāġhoñ se yahī paimān letī hai

    nihatte aadmi pe baDh ke KHanjar tan leti hai

    mohabbat mein na paD jaana mohabbat jaan leti hai

    use KHamosh dekhun to sunai kuchh nahin deta

    dikhai kuchh nahin deta nazar jab kan leti hai

    udasi aashna hai is qadar aahaT se meri ab

    jahan se bhi guzarta hun mujhe pahchan leti hai

    KHushi to de hi deti hai teri duniya mujhe la kar

    magar badle mein wo us ke mera iman leti hai

    bas ek lamha lagati hai KHushi aa kar guzarne mein

    udasi aae to sadiyon ki miTTi chhan leti hai

    barabar banT deti hai wo sansen KHak-zadon mein

    na-jaane zindagi kis ki dukan se bhan leti hai

    isi ke sath chalti hai ye manzil par pahunchne tak

    ye rah-e-gham jise apna musafir jaan leti hai

    wo har machhli jo machhli ghar ki paidawar ho sahab

    wo machhli ghar ko hi apna samundar man leti hai

    hum us ke hath pe rakh den zamin-o-asman la kar

    magar wo hum faqiron ka kahan ehsan leti hai

    sar-e-maqtal bikhar jate hain is mein Dubne wale

    mohabbat har qadam par KHun ka tawan leti hai

    agar bujhne se bachna hai to lau se lau jalao 'zeb'

    hawa jalte charaghon se yahi paiman leti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now