Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nichi nigah ki humne to usne munh ko chhupana chhoD diya

Nazeer Akbarabadi

nichi nigah ki humne to usne munh ko chhupana chhoD diya

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    nīchī nigah ham ne to us ne muñh ko chhupānā chhoḌ diyā

    kuchh jo huī phir ūñchī to ruḳh se parda uThānā chhoḌ diyā

    zulf se jakḌā pahle to dil phir us tamāsha dekhne ko

    nazroñ us par sehr kiyā aur kar ke divānā chhoḌ diyā

    us ne uThāyā ham pe tamāñcha ham ne haTāyā muñh ko jo aah

    shoḳh ne ham ko us din se phir naaz dikhānā chhoḌ diyā

    baiTh ke nazdīk us ke jo ik din paañv ko ham ne chuum liyā

    us ne hameñ bebāk samajh kar lutf jatānā chhoḌ diyā

    phir jo ga.e ham milne ko us ke dekh ke us ne ham ko 'nazīr'

    yuuñ to kahā haañ aao lekin paas biThānā chhoḌ diyā

    nichi nigah ki hum ne to us ne munh ko chhupana chhoD diya

    kuchh jo hui phir unchi to ruKH se parda uThana chhoD diya

    zulf se jakDa pahle to dil phir us ka tamasha dekhne ko

    nazron ka us par sehr kiya aur kar ke diwana chhoD diya

    us ne uThaya hum pe tamancha hum ne haTaya munh ko jo aah

    shoKH ne hum ko us din se phir naz dikhana chhoD diya

    baiTh ke nazdik us ke jo ek din panw ko hum ne chum liya

    us ne hamein bebak samajh kar lutf jatana chhoD diya

    phir jo gae hum milne ko us ke dekh ke us ne hum ko 'nazir'

    yun to kaha han aao ji lekin pas biThana chhoD diya

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 35(148))

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now