Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain

Aazim Kohli

nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain

Aazim Kohli

MORE BYAazim Kohli

    niilā ambar chāñd sitāre bachchoñ jāgīreñ haiñ

    apnī duniyā meñ to bas dīvāreñ haiñ zanjīreñ haiñ

    rishte haiñ parchhā.īñ jaise ummīdeñ haiñ sarāboñ

    bantī haiñ miTtī haiñ pal pal ye kaisī tasvīreñ haiñ

    baḌh kar haiñ shaitānoñ se bhī insānoñ ke kaam yahāñ

    hoñToñ par phūloñ bāteñ hāthoñ meñ shamshīreñ haiñ

    ye kaisā insāf hai yārab kaisā khel hai qismat

    kuchh hāthoñ meñ rañg-e-hinā hai kuchh meñ sirf lakīreñ haiñ

    'āzim' pyaar nagrī se kuchh ḳhvāb churā kar le aao

    us nagrī meñ sunte haiñ kuchh rāñjhe haiñ kuchh hīreñ haiñ

    nila ambar chand sitare bachchon ki jagiren hain

    apni duniya mein to bas diwaren hain zanjiren hain

    rishte hain parchhain jaise ummiden hain sarabon si

    banti hain miTti hain pal pal ye kaisi taswiren hain

    baDh kar hain shaitanon se bhi insanon ke kaam yahan

    honTon par phulon si baaten hathon mein shamshiren hain

    ye kaisa insaf hai yarab kaisa khel hai qismat ka

    kuchh hathon mein rang-e-hina hai kuchh mein sirf lakiren hain

    'azim' pyar ki nagri se kuchh KHwab chura kar le aao

    us nagri mein sunte hain kuchh ranjhe hain kuchh hiren hain

    Source:

    Aaghaz (Pg. 1)

    • Author: Aazim Gurvinder Singh Kohli
      • Edition: january 1998
      • Publisher: Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026
      • Year of Publication: january 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now