nind aankhon mein aaj kam-kam hai
niiñd āñkhoñ meñ aaj kam-kam hai
phir vahī rat-jagoñ kā mausam hai
dostī dil-dahī vafādārī
in charāġhoñ kī lau bhī maddham hai
phuul murjhā rahe haiñ 'āriz ke
merī āñkhoñ meñ thoḌī shabnam hai
kaun uTh kar gayā hai sahrā se
kyoñ ġhazāloñ kī aañkh pur-nam hai
zulf-e-hastī sañvar na pā.egī
zulf-e-gītī bahut hī barham hai
din guzarne to do kuchh aur 'nafīs'
vaqt sunte haiñ ḳhud bhī marham hai
nind aankhon mein aaj kam-kam hai
phir wahi rat-jagon ka mausam hai
dosti dil-dahi wafadari
in charaghon ki lau bhi maddham hai
phul murjha rahe hain 'ariz ke
meri aankhon mein thoDi shabnam hai
kaun uTh kar gaya hai sahra se
kyon ghazalon ki aankh pur-nam hai
zulf-e-hasti sanwar na paegi
zulf-e-giti bahut hi barham hai
din guzarne to do kuchh aur 'nafis'
waqt sunte hain KHud bhi marham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.