Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind aankhon mein samo lun to siyah raat kaTe

Shamim Tariq

nind aankhon mein samo lun to siyah raat kaTe

Shamim Tariq

MORE BYShamim Tariq

    niiñd āñkhoñ meñ samo luuñ to siyah raat kaTe

    ye zamīñ oḌh ke so luuñ to siyah raat kaTe

    qatra-e-ashk bhī lau dete haiñ jugnū tarah

    do ghaḌī phuuT ke ro luuñ to siyah raat kaTe

    rone-dhone se nahīñ ugtā ḳhushī sūraj

    qahqahe hoñT pe bolūñ to siyah raat kaTe

    aañkh nā-dīda manāzir ke tajassus hai naam

    motiyāñ aañkh meñ rolūñ to siyah raat kaTe

    karb-e-tanhā.ī mirī ruuh kartī hai siñghār

    zahr ehsās gholūñ to siyah raat kaTe

    nind aankhon mein samo lun to siyah raat kaTe

    ye zamin oDh ke so lun to siyah raat kaTe

    qatra-e-ashk bhi lau dete hain jugnu ki tarah

    do ghaDi phuT ke ro lun to siyah raat kaTe

    rone-dhone se nahin ugta KHushi ka suraj

    qahqahe honT pe bolun to siyah raat kaTe

    aankh na-dida manazir ke tajassus ka hai nam

    motiyan aankh mein rolun to siyah raat kaTe

    karb-e-tanhai meri ruh ka karti hai singhaar

    zahr ehsas ka gholun to siyah raat kaTe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now