nind ka sona meri aankhon se pighla der tak
niiñd kā sonā mirī āñkhoñ se pighlā der tak
maiñ guzishta raat bhī be-bāt jaagā der tak
likh gayā hai jaane kyā chehre pe lamhoñ kā ġhubār
dekhtā rahtā huuñ ā.īne meñ chehra der tak
us galī ke saare ghar ḳhāmosh the tārīk the
jaane kyoñ raushan rahā thā ik darīcha der tak
chaap ubhrī aur phir ḳhāmoshiyoñ meñ kho ga.ī
ik madhur naġhma mire kānoñ meñ gūñjā der tak
maiñ akelā thā saḌak par duur tak koī na thā
vo na jaane kaun thā kis ne pukārā der tak
nind ka sona meri aankhon se pighla der tak
main guzishta raat bhi be-baat jaga der tak
likh gaya hai jaane kya chehre pe lamhon ka ghubar
dekhta rahta hun aaine mein chehra der tak
us gali ke sare ghar KHamosh the tarik the
jaane kyon raushan raha tha ek daricha der tak
chap ubhri aur phir KHamoshiyon mein kho gai
ek madhur naghma mere kanon mein gunja der tak
main akela tha saDak par dur tak koi na tha
wo na jaane kaun tha kis ne pukara der tak
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 80)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.