Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind ke zindan mein koi rasta banne laga

Mohammad Iftikharul Haq Samaj

nind ke zindan mein koi rasta banne laga

Mohammad Iftikharul Haq Samaj

MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj

    niiñd ke zindāñ meñ koī rāsta banñe lagā

    ḳhvāb imkāñ ke darīche havā banñe lagā

    jab miTā.e aur abjad ājizī ke haath ne

    rafta rafta dil mirā harf-e-duā banñe lagā

    vāqi.oñ Dor meñ kuchh der girheñ Daal kar

    vaqt pīchhe haT gayā aur hādisa banñe lagā

    dūsroñ se ek jaisā fāsla rakhte hue

    maiñ ta.alluq ke safar meñ dā.era banñe lagā

    zindagī aas ehrāmoñ meñ chakrāne lagī

    bandagī kartā huā but jab ḳhudā banñe lagā

    aks-e-imkāñ jam gayā ummīd dīvār par

    jā-ba-jā dar jagah ik aa.ina banñe lagā

    parvarish is dard mujh ko bahut mahñgī paḌī

    dekhte dekhte jis ġhizā banñe lagā

    vaqt tasvīr to puurī na ho paa.ī magar

    ik nazāra aur manzar se varā banñe lagā

    phir se ā.īn-e-havā par guftugū hone lagī

    saañs lene ke liye kuliya nayā banñe lagā

    nind ke zindan mein koi rasta banne laga

    KHwab imkan ke dariche ki hawa banne laga

    jab miTae aur abjad aajizi ke hath ne

    rafta rafta dil mera harf-e-dua banne laga

    waqion ki Dor mein kuchh der girhen Dal kar

    waqt pichhe haT gaya aur hadisa banne laga

    dusron se ek jaisa fasla rakhte hue

    main talluq ke safar mein daera banne laga

    zindagi ki aas ehramon mein chakrane lagi

    bandagi karta hua but jab KHuda banne laga

    aks-e-imkan jam gaya ummid ki diwar par

    ja-ba-ja dar ki jagah ek aaina banne laga

    parwarish is dard ki mujh ko bahut mahngi paDi

    dekhte hi dekhte jis ki ghiza banne laga

    waqt ki taswir to puri na ho pai magar

    ek nazara aur manzar se wara banne laga

    phir se aain-e-hawa par guftugu hone lagi

    sans lene ke liye kuliya naya banne laga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now