Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nind uDne ka sabab aur chain khone ka jawaz

Badr Muneer

nind uDne ka sabab aur chain khone ka jawaz

Badr Muneer

MORE BYBadr Muneer

    niiñd uḌne sabab aur chain khone javāz

    pūchhte haiñ log mujh se 'ishq hone javāz

    laḌ rahā huuñ maiñ akelā kār-zār-e-hastī meñ

    kar farāham bhī zālim apne hone javāz

    DhūñDte haiñ log kaise harf-e-tund-o-tez se

    dūsroñ ruuh meñ kāñTe chubhone javāz

    ye zarūrī to nahīñ ham bhī farāham kar sakeñ

    baiThe baiThe apne dāman ko bhigone javāz

    sāhiloñ par āfiyat mā'dūm ho jaane ke baa'd

    aur kyā hogā bhalā kashtī Dubone javāz

    zabt ke bandhan ko jis ne toḌ Daalā hai 'munīr'

    pūchhtā hai dūsroñ se mere rone javāz

    nind uDne ka sabab aur chain khone ka jawaz

    puchhte hain log mujh se 'ishq hone ka jawaz

    laD raha hun main akela kar-zar-e-hasti mein

    kar faraham tu bhi zalim apne hone ka jawaz

    DhunDte hain log kaise harf-e-tund-o-tez se

    dusron ki ruh mein kanTe chubhone ka jawaz

    ye zaruri to nahin hum bhi faraham kar saken

    baiThe baiThe apne daman ko bhigone ka jawaz

    sahilon par aafiyat ma'dum ho jaane ke ba'd

    aur kya hoga bhala kashti Dubone ka jawaz

    zabt ke bandhan ko jis ne toD Dala hai 'munir'

    puchhta hai dusron se mere rone ka jawaz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now