Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikal kar dil se ek ik ki zaban tak baat ja pahunchi

Shaida Ambalvi

nikal kar dil se ek ik ki zaban tak baat ja pahunchi

Shaida Ambalvi

MORE BYShaida Ambalvi

    nikal kar dil se ik ik zabāñ tak baat pahuñchī

    kahāñ baat thī lekin kahāñ tak baat pahuñchī

    ġhurūr-e-husn un ko thā ġhurūr-e-ishq thā ham ko

    ta.ajjub kyā jo āḳhir imtihāñ tak baat pahuñchī

    mohabbat karne vaale jaan par bhī khel jaate haiñ

    vafā kaisī agar sūd-o-ziyāñ tak baat pahuñchī

    nazar sahvan uThī un par fasāne ban ga.e kyā kyā

    zarā baat thī lekin kahāñ tak baat pahuñchī

    hamāre ishq ke charche kahīñ roke se rukte haiñ

    ab us is ik ik zabāñ tak baat pahuñchī

    gila kaisā shikāyat kyoñ pashemānī se kyā hāsil

    jahāñ tak tum ne pahuñchā vahāñ tak baat pahuñchī

    mohabbat laakh pardoñ meñ bhī zāhir ho ga.ī āḳhir

    dil-e-ḳhāmosh se har īn-o-āñ tak baat pahuñchī

    pahuñchnī thī lab-e-sāqī se jo mujh rind-e-mai-kash tak

    ta.ajjub hai vo zāhid zabāñ tak baat pahuñchī

    mohabbat do diloñ raaz ham samjhe the ai 'shaidā'

    na jaane kis tarah saare jahāñ tak baat pahuñchī

    nikal kar dil se ek ek ki zaban tak baat ja pahunchi

    kahan ki baat thi lekin kahan tak baat ja pahunchi

    ghurur-e-husn un ko tha ghurur-e-ishq tha hum ko

    tajjub kya jo aaKHir imtihan tak baat ja pahunchi

    mohabbat karne wale jaan par bhi khel jate hain

    wafa kaisi agar sud-o-ziyan tak baat ja pahunchi

    nazar sahwan uThi un par fasane ban gae kya kya

    zara si baat thi lekin kahan tak baat ja pahunchi

    hamare ishq ke charche kahin roke se rukte hain

    ab us ki is ki ek ek ki zaban tak baat ja pahunchi

    gila kaisa shikayat kyon pashemani se kya hasil

    jahan tak tum ne pahuncha di wahan tak baat ja pahunchi

    mohabbat lakh pardon mein bhi zahir ho gai aaKHir

    dil-e-KHamosh se har in-o-an tak baat ja pahunchi

    pahunchni thi lab-e-saqi se jo mujh rind-e-mai-kash tak

    tajjub hai wo zahid ki zaban tak baat ja pahunchi

    mohabbat do dilon ka raaz hum samjhe the ai 'shaida'

    na jaane kis tarah sare jahan tak baat ja pahunchi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now