Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikla hai zulm toD ke sare hisar bhag

Syed Qais Raza

nikla hai zulm toD ke sare hisar bhag

Syed Qais Raza

MORE BYSyed Qais Raza

    niklā hai zulm toḌ ke saare hisār bhaag

    suntā hai kaun ab na kisī ko pukār bhaag

    maiñ gardishoñ se bhāgtā phirtā huuñ raat din

    bhī zamīn chhoḌ ke apnā madār bhaag

    go qāfila chalā gayā ġham-zada na ho

    vo dekh uTh rahā hai abhī bhī ġhubār bhaag

    lipTī hai tere jism se kyoñ dopahar shaal

    kyoñ ho rahā hai din havas shikār bhaag

    bhūlā dayār-e-ġhair meñ aayā hai to tujhe

    uljhā na de ye gardish-e-lail-o-nahār bhaag

    ik bachā hai shahr to saarā ujaḌ gayā

    ab kar rahā hai kis bhalā intizār bhaag

    ik pal meñ sameT le sadiyoñ fāsla

    paañv se 'qais' vaqt beḌī utaar bhaag

    nikla hai zulm toD ke sare hisar bhag

    sunta hai kaun ab na kisi ko pukar bhag

    main gardishon se bhagta phirta hun raat din

    tu bhi zamin chhoD ke apna madar bhag

    go qafila chala gaya tu gham-zada na ho

    wo dekh uTh raha hai abhi bhi ghubar bhag

    lipTi hai tere jism se kyon dopahar ki shaal

    kyon ho raha hai din ki hawas ka shikar bhag

    bhula dayar-e-ghair mein aaya hai to tujhe

    uljha na de ye gardish-e-lail-o-nahaar bhag

    ek tu bacha hai shahr to sara ujaD gaya

    ab kar raha hai kis ka bhala intizar bhag

    ek pal mein hi sameT le sadiyon ka fasla

    panw se 'qais' waqt ki beDi utar bhag

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now