Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikle the to sar uncha tha malbus ana thi

Shams Khaalid

nikle the to sar uncha tha malbus ana thi

Shams Khaalid

MORE BYShams Khaalid

    nikle the to sar ūñchā thā malbūs anā thī

    aur lauTe to sar ḳhāk-ba-kaf chaak qabā thī

    ab tak ye ḳhalish baaqī hai jo umr hai guzrī

    vo ḳhvāb thī ḳhvāb ta.abīr thī kyā thī

    ik lahza ko hashr uTThā sar-e-kū-e-dil-e-zār

    phir shahr-e-ḳhamoshī meñ fuġhāñ thī na navā thī

    ai be-hisī-e-dil vo bhī karvā.e muqaffal

    un hoñToñ har baat to tamsīl-e-duā thī

    ik maiñ thā aur ik dosh pe bhaTkātī huī ziist

    ik barg-e-ḳhizāñ-bār thā ik mauj-e-sabā thī

    ye kaun tamarrud pe kamar-basta huā aaj

    kal tak to har ik baat pe taslīm-o-razā thī

    ye din bhī hai rauñd rahī hai mujhe duniyā

    vo din bhī the jab mirī ḳhāk-e-kaf-e-pā thī

    us sub.h-e-bahārāñ fusūñ TuuTā to dekhā

    ik shahr-e-ḳhamoshāñ thā aur ik shām-e-qazā thī

    maiñ ḳhush thā ki dāmān-e-gulistāñ meñ chhupā huuñ

    sargardāñ mirī khoj meñ sahrā havā thī

    nikle the to sar uncha tha malbus ana thi

    aur lauTe to sar KHak-ba-kaf chaak qaba thi

    ab tak ye KHalish baqi hai jo umr hai guzri

    wo KHwab thi ya KHwab ki tabir thi kya thi

    ek lahza ko hashr uTTha sar-e-ku-e-dil-e-zar

    phir shahr-e-KHamoshi mein fughan thi na nawa thi

    ai be-hisi-e-dil wo bhi karwae muqaffal

    un honTon ki har baat to tamsil-e-dua thi

    ek main tha aur ek dosh pe bhaTkati hui zist

    ek barg-e-KHizan-bar tha ek mauj-e-saba thi

    ye kaun tamarrud pe kamar-basta hua aaj

    kal tak to har ek baat pe taslim-o-raza thi

    ye din bhi hai tu raund rahi hai mujhe duniya

    wo din bhi the jab tu meri KHak-e-kaf-e-pa thi

    us subh-e-bahaaran ka fusun TuTa to dekha

    ek shahr-e-KHamoshan tha aur ek sham-e-qaza thi

    main KHush tha ki daman-e-gulistan mein chhupa hun

    sargardan meri khoj mein sahra ki hawa thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now