Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nirale nirale se KHwabon ka mausam

Nami Nadri

nirale nirale se KHwabon ka mausam

Nami Nadri

MORE BYNami Nadri

    nirāle nirāle se ḳhvāboñ mausam

    javānī aalam sarāboñ mausam

    gulābī gulābī sahāboñ mausam

    nahīñ rahtā har dam gulāboñ mausam

    masarrat ghaḌiyāñ nahīñ Tik sakīñ jab

    badal kar rahegā azāboñ mausam

    azīzo ye ḳhār-e-gulistāñ haiñ shāhid

    zarūr aa.egā phir gulāboñ mausam

    faqat mausamī hai ye josh-e-javānī

    ki bārish meñ jaise habāboñ mausam

    ġhazab Dhā rahā hai ye shauq-e-numā.ish

    qayāmat hai ye be-hijāboñ mausam

    guzar jaa.eñ din kaash hañste hañsāte

    kise raas aayā itāboñ mausam

    kamā lījiye chāhe jitnī bhalā.ī

    buḌhāpā hai 'nāmī' savāboñ mausam

    nirale nirale se KHwabon ka mausam

    jawani ka aalam sarabon ka mausam

    gulabi gulabi sahabon ka mausam

    nahin rahta har dam gulabon ka mausam

    masarrat ki ghaDiyan nahin Tik sakin jab

    badal kar rahega azabon ka mausam

    azizo ye KHar-e-gulistan hain shahid

    zarur aaega phir gulabon ka mausam

    faqat mausami hai ye josh-e-jawani

    ki barish mein jaise hababon ka mausam

    ghazab Dha raha hai ye shauq-e-numaish

    qayamat hai ye be-hijabon ka mausam

    guzar jaen din kash hanste hansate

    kise ras aaya itabon ka mausam

    kama lijiye chahe jitni bhalai

    buDhapa hai 'nami' sawabon ka mausam

    Source:

    Ahsaan-e-Hayaat (Pg. 34)

    • Author: Nami Nadri
      • Publisher: Omkar Printing Press, Ludhiana
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now