nit-nai KHush-fahmiyon mein mubtala rakhta hun main
nit-na.ī ḳhush-fahmiyoñ meñ mubtalā rakhtā huuñ maiñ
ḳhalq ke hāthoñ ko masrūf-e-duā rakhtā huuñ maiñ
ḳhushk dhartī ko atā kartā huuñ saaya abr kā
qatra-e-bārāñ pe dariyā kī binā rakhtā huuñ maiñ
DhūñDh hī letī hai mujh ko DhūñDne vaalī nazar
apne saa.e ko agarche lāpatā rakhtā huuñ maiñ
kyuuñ bhalā āsūdgī mere muqaddar meñ nahīñ
kis liye din-rāt ḳhud ko jāgtā rakhtā huuñ maiñ
phūñktā rahtā huuñ bahr-e-lafz meñ 'ḳhālid' fusūñ
mauj-e-ma.anī ko talātum-āshnā rakhtā huuñ maiñ
nit-nai KHush-fahmiyon mein mubtala rakhta hun main
KHalq ke hathon ko masruf-e-dua rakhta hun main
KHushk dharti ko ata karta hun saya abr ka
qatra-e-baran pe dariya ki bina rakhta hun main
DhunDh hi leti hai mujh ko DhunDne wali nazar
apne sae ko agarche lapata rakhta hun main
kyun bhala aasudgi mere muqaddar mein nahin
kis liye din-raat KHud ko jagta rakhta hun main
phunkta rahta hun bahr-e-lafz mein 'KHalid' fusun
mauj-e-mani ko talatum-ashna rakhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.