Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

niyyat agar KHarab hui hai huzur ki

Heera Lal Falak Dehlvi

niyyat agar KHarab hui hai huzur ki

Heera Lal Falak Dehlvi

MORE BYHeera Lal Falak Dehlvi

    niyyat agar ḳharāb huī hai huzūr

    gaḌ.h lo koī kahānī hamāre qusūr

    kyuuñ dil aag le na ḳhabar duur duur

    kaundī hai har dimāġh meñ bijlī futūr

    har zulm par kiyā hai zamāne se ehtijāj

    kuchh bhī na ban paḌā to mazammat zarūr

    ta.amīr to vaqt hai taḳhrīb junūñ

    ab bhī hai aadmī ko zarūrat shu.ūr

    ai shām-e-ġham gahrī ḳhamoshī tujhe salām

    kānoñ meñ ek aa.ī hai āvāz duur

    hosh uḌ ga.e to hosh haqīqat aa gayā

    muusā be-hisī meñ tajallī thī nuur

    kahtā hai inqalāb zamāna jise 'falak'

    ik duniyā muntazir hai usī ke zuhūr

    niyyat agar KHarab hui hai huzur ki

    gaDh lo koi kahani hamare qusur ki

    kyun dil ki aag le na KHabar dur dur ki

    kaundi hai har dimagh mein bijli futur ki

    har zulm par kiya hai zamane se ehtijaj

    kuchh bhi na ban paDa to mazammat zarur ki

    tamir ka to waqt hai taKHrib ka junun

    ab bhi hai aadmi ko zarurat shuur ki

    ai sham-e-gham ki gahri KHamoshi tujhe salam

    kanon mein ek aai hai aawaz dur ki

    hosh uD gae to hosh haqiqat ka aa gaya

    musa ki be-hisi mein tajalli thi nur ki

    kahta hai inqalab zamana jise 'falak'

    ek duniya muntazir hai usi ke zuhur ki

    Source:

    Harf-o-sada (Pg. 81)

    • Author: Hira lal Falak Dehlvi
      • Edition: 1982
      • Publisher: Hira lal Falak Dehlvi
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now