Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

numayan aur bhi ruKH teri be-ruKHi mein rahe

Sajjad Baqar Rizvi

numayan aur bhi ruKH teri be-ruKHi mein rahe

Sajjad Baqar Rizvi

MORE BYSajjad Baqar Rizvi

    numāyāñ aur bhī ruḳh terī be-ruḳhī meñ rahe

    supurdagī ke bhī pahlū kashīdgī meñ rahe

    nazar uThī to uThā shor ik qayāmat

    na jaane kaise ye hañgāme ḳhāmushī meñ rahe

    havā-e-shahr-e-ġharībī kaifiyat thī ajiib

    nashe meñ rah ke bhī ham apne aap meñ rahe

    pukārte rahe kyā kyā na dil ke vīrāne

    ham aise shahr meñ uljhe the shahr meñ rahe

    hisār-e-vahshat-e-dil se nikal to aa.e magar

    tamām-umr ajab sehr-e-āgahī meñ rahe

    mirī vafā haqīqat ġhubār-e-dasht-e-talab

    mirī vafā ke fasāne tirī galī meñ rahe

    kabhī to pahuñchegī manzil pe sar-bulandī-e-shauq

    is āsare pe maqāmāt-e-bandagī meñ rahe

    unhīñ se ubhrī haiñ kitne ġhamoñ tasvīreñ

    vo saa.e jo mirī āñkhoñ raushnī meñ rahe

    hameñ milā thā sharaf kā.enāt par 'bāqar'

    hameñ kalī tirā dil giraftagī meñ rahe

    numayan aur bhi ruKH teri be-ruKHi mein rahe

    supurdagi ke bhi pahlu kashidgi mein rahe

    nazar uThi to uTha shor ek qayamat ka

    na jaane kaise ye hangame KHamushi mein rahe

    hawa-e-shahr-e-gharibi ki kaifiyat thi ajib

    nashe mein rah ke bhi hum apne aap hi mein rahe

    pukarte rahe kya kya na dil ke virane

    hum aise shahr mein uljhe the shahr hi mein rahe

    hisar-e-wahshat-e-dil se nikal to aae magar

    tamam-umr ajab sehr-e-agahi mein rahe

    meri wafa ki haqiqat ghubar-e-dasht-e-talab

    meri wafa ke fasane teri gali mein rahe

    kabhi to pahunchegi manzil pe sar-bulandi-e-shauq

    is aasare pe maqamat-e-bandagi mein rahe

    unhin se ubhri hain kitne ghamon ki taswiren

    wo sae jo meri aankhon ki raushni mein rahe

    hamein mila tha sharaf kaenat par 'baqar'

    hamein kali ki tera dil giraftagi mein rahe

    Source:

    Kulliyat-e-Baqir (Pg. 205)

    • Author: Sajjad Baqir Rizvi
      • Edition: 2010
      • Publisher: Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now