Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nur-e-haq be-hijab ishq-allah

Alimullah

nur-e-haq be-hijab ishq-allah

Alimullah

MORE BYAlimullah

    nūr-e-haq be-hijāb ishq-allāh

    yād-e-dilbar sharāb ishq-allāh

    mohabbat ke āsmāñ pe zuhūr

    partav-e-āftāb ishq-allāh

    jab dikhātā hai rab jamāl apnā

    dekh le be-naqāb ishq-allāh

    ishq meñ dil-rubā ke ai zāhid

    sar-nigūñ shaiḳh-o-shāb ishq-allāh

    bazm-e-lāhūt meñ sun ai darvesh

    hai sadā-e-rubāb ishq-allāh

    jo sunā hai sadā-e-sar-nigūñ

    vo che paayā shitāb ishq-allāh

    ishq josh dil ke dariyā meñ

    boltā har habāb ishq-allāh

    faiz murshid suuñ mustafīz huā

    dil suuñ paayā janāb ishq-allāh

    bol is javāb alīmullāh

    jo kahā hai turāb ishq-allāh

    nur-e-haq be-hijab ishq-allah

    yaad-e-dilbar sharab ishq-allah

    mi mohabbat ke aasman pe zuhur

    partaw-e-aftab ishq-allah

    jab dikhata hai rab jamal apna

    dekh le be-naqab ishq-allah

    ishq mein dil-ruba ke ai zahid

    sar-nigun shaiKH-o-shab ishq-allah

    bazm-e-lahut mein sun ai darwesh

    hai sada-e-rubab ishq-allah

    jo suna hai sada-e-sar-nigun

    wo che paya shitab ishq-allah

    ishq ka josh dil ke dariya mein

    bolta har habab ishq-allah

    faiz murshid sun mustafiz hua

    dil sun paya janab ishq-allah

    bol is ka jawab alimullah

    jo kaha hai turab ishq-allah

    Source:

    Deewan-e-Alimullah(Gazaliyat-e-Miskeen Shah) (Pg. 47)

    • Author: Alimullah, Miskeen Shah
      • Publisher: Matba Kareemi Press, Mumbai
      • Year of Publication: 1920
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now