Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nur-e-iman ko baDhao to koi baat bane

Azeez Moradabadi

nur-e-iman ko baDhao to koi baat bane

Azeez Moradabadi

MORE BYAzeez Moradabadi

    nūr-e-īmāñ ko baḌhāo to koī baat bane

    apne bātin ko sajāo to koī baat bane

    ilm sham.a jalā.ī hai bahut logoñ ne

    zulmat-e-jahl miTāo to koī baat bane

    hāsidoñ ko kabhī ḳhush hone mauqa na mile

    un ko tum ḳhuub jalāo to koī baat bane

    saḳht dushvār hai ye rāh-e-mohabbat safar

    us pe ḳhud chal ke dikhāo to koī baat bane

    dil kisī bhī dukhānā nahīñ achchhā hotā

    rote logoñ ko hañsāo to koī baat bane

    ilm hai jin faqat lafz-o-bayāñ tak mahdūd

    bā-amal un ko banāo to koī baat bane

    husn-e-aḳhlāq tāsīr yaqīnī hai 'azīz'

    is se dushman ko dabāo to koī baat bane

    nur-e-iman ko baDhao to koi baat bane

    apne baatin ko sajao to koi baat bane

    ilm ki shama jalai hai bahut logon ne

    zulmat-e-jahl miTao to koi baat bane

    hasidon ko kabhi KHush hone ka mauqa na mile

    un ko tum KHub jalao to koi baat bane

    saKHt dushwar hai ye rah-e-mohabbat ka safar

    us pe KHud chal ke dikhao to koi baat bane

    dil kisi ka bhi dukhana nahin achchha hota

    rote logon ko hansao to koi baat bane

    ilm hai jin ka faqat lafz-o-bayan tak mahdud

    ba-amal un ko banao to koi baat bane

    husn-e-aKHlaq ki tasir yaqini hai 'aziz'

    is se dushman ko dabao to koi baat bane

    Source:

    Karwan-e-Ghazal (Pg. 138)

    • Author: Azeez Moradabadi
      • Publisher: National Social Organizations, Moradabad
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now