Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nur tha jitna jahan mein sab hunar aankhon ka tha

Devang Pratap Singh

nur tha jitna jahan mein sab hunar aankhon ka tha

Devang Pratap Singh

MORE BYDevang Pratap Singh

    nuur thā jitnā jahāñ meñ sab hunar āñkhoñ thā

    jo bhī dekhe Duub jaa.e vo asar āñkhoñ thā

    niiñd mujh ko le ke aa.ī thī tumhāre ḳhvāb tak

    aur us ke baa'd to ḳhālī safar āñkhoñ thā

    mo.ajiza hone se pahle sab āñkheñ band thiiñ

    chāhte sab dekh lete Dar magar āñkhoñ thā

    ek chehra thā jo ham chāroñ pahar dekhā kiye

    do pahar nīñdoñ ke the aur do pahar āñkhoñ thā

    ḳhvāb dariyā thā bahtā niiñd ke peḌoñ tale

    ik safīna husn thā aur bhañvar āñkhoñ thā

    jin ke sapne nahīñ the log vo āzād the

    jo asīrī meñ rahe un par asar āñkhoñ thā

    yaar mizhgāñ meñ chhupā rakkhe the maiñ ne ḳhat sabhī

    us ne to sab paḌh liyā vo nāma-bar āñkhoñ thā

    mujh 'musāfir' ko bahut haiñ ḳhvāb tārīkiyāñ

    shaam hote ga.e ghar haañ vo ghar āñkhoñ thā

    nur tha jitna jahan mein sab hunar aankhon ka tha

    jo bhi dekhe Dub jae wo asar aankhon ka tha

    nind mujh ko le ke aai thi tumhaare KHwab tak

    aur us ke ba'd to KHali safar aankhon ka tha

    moajiza hone se pahle sab ki aankhen band thin

    chahte sab dekh lete Dar magar aankhon ka tha

    ek chehra tha jo hum chaaron pahar dekha kiye

    do pahar nindon ke the aur do pahar aankhon ka tha

    KHwab ka dariya tha bahta nind ke peDon tale

    ek safina husn ka tha aur bhanwar aankhon ka tha

    jin ke sapne hi nahin the log wo aazad the

    jo asiri mein rahe un par asar aankhon ka tha

    yar mizhgan mein chhupa rakkhe the main ne KHat sabhi

    us ne to sab paDh liya wo nama-bar aankhon ka tha

    mujh 'musafir' ko bahut hain KHwab ki tarikiyan

    sham hote hi gae ghar han wo ghar aankhon ka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now