Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pamal-e-rah-e-ishq hain KHilqat ki kha Thokar bhi hum

Shah Naseer

pamal-e-rah-e-ishq hain KHilqat ki kha Thokar bhi hum

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    pāmāl-e-rāh-e-ishq haiñ ḳhilqat khā Thokar bhī ham

    juuñ shīsha nāzuk-tar the kyā saḳhtī meñ haiñ patthar bhī ham

    ā.īna dil saaf kar kahlā.e saiqal-gar bhī ham

    apne sivā dekheñ kise andar bhī ham bāhar bhī ham

    jāñ-bar ho un se kyūñki dil kahtī haiñ palkeñ yaar

    neza bhī ham nāvak bhī ham barchhī bhī ham ḳhanjar bhī ham

    ashkoñ daulat kyuuñ na ho sultān-e-aqlīm-e-junūñ

    rakhte haiñ saath apne sadā laḌkoñ ik lashkar bhī ham

    chunvā ke abrū mujh se kyā vo hañs ke farmāne lage

    is teġh ke dam le sadā dikhlā.eñge jauhar bhī ham

    kyā ḳhaak kiije mai-kashī ai sāqī-e-gulfām aa

    giryāñ haiñ misl-e-abr kyā juuñ barq haiñ muztar bhī ham

    kahte haiñ vo pāñ-ḳhurda-lab yāqūt ke TukḌe to the

    kahlā.e lekin aaj se barg-e-gul-e-ahmar bhī ham

    ai shoḳh dāñtoñ tire yaañ ye tasavvur hai bañdhā

    din raat chashm-e-tar se yaañ barsāte haiñ gauhar bhī ham

    rakhte to haiñ girdāb-e-yam par Dar hai ye ai chashm-e-tar

    girdāb-e-dariyā tarah khāte haiñ yaañ chakkar bhī ham

    jo chāhe kar jaur-o-jafā par dil mohr-e-dāġh se

    roz-e-qayāmat kosnā dikhlā.eñge mahzar bhī ham

    qad se 'nasīr' us ke sadā ik shor-e-mahshar hai bapā

    chhūTe azāb-e-qabr se kyā ḳhaak yaañ mar kar bhī ham

    pamal-e-rah-e-ishq hain KHilqat ki kha Thokar bhi hum

    jun shisha nazuk-tar the kya saKHti mein hain patthar bhi hum

    aaina dil ka saf kar kahlae saiqal-gar bhi hum

    apne siwa dekhen kise andar bhi hum bahar bhi hum

    jaan-bar ho un se kyunki dil kahti hain palken yar ki

    neza bhi hum nawak bhi hum barchhi bhi hum KHanjar bhi hum

    ashkon ki daulat kyun na ho sultan-e-aqlim-e-junun

    rakhte hain sath apne sada laDkon ka ek lashkar bhi hum

    chunwa ke abru mujh se kya wo hans ke farmane lage

    is tegh ke dam le sada dikhlaenge jauhar bhi hum

    kya KHak kije mai-kashi ai saqi-e-gulfam aa

    giryan hain misl-e-abr kya jun barq hain muztar bhi hum

    kahte hain wo pan-KHurda-lab yaqut ke TukDe to the

    kahlae lekin aaj se barg-e-gul-e-ahmar bhi hum

    ai shoKH danton ka tere yan ye tasawwur hai bandha

    din raat chashm-e-tar se yan barsate hain gauhar bhi hum

    rakhte to hain girdab-e-yam par Dar hai ye ai chashm-e-tar

    girdab-e-dariya ki tarah khate hain yan chakkar bhi hum

    jo chahe kar jaur-o-jafa par dil ka mohr-e-dagh se

    roz-e-qayamat kosna dikhlaenge mahzar bhi hum

    qad se 'nasir' us ke sada ek shor-e-mahshar hai bapa

    chhuTe azab-e-qabr se kya KHak yan mar kar bhi hum

    Source:

    Kulliyat-e-Shah Nasiir áPart IIâ(rekhta website) (Pg. 219)

    • Author: Shah Naseer
      • Edition: 1977
      • Publisher: Majlis-e-Taraqqi-e-Adab, Lahore, Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now