Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pani ki tarah yar ko har rang mein dekha

Syed Ali Nazar

pani ki tarah yar ko har rang mein dekha

Syed Ali Nazar

MORE BYSyed Ali Nazar

    paanī tarah yaar ko har rang meñ dekhā

    mānind-e-sharar sīna-e-har-sang meñ dekhā

    zulfeñ tire chehre pe ajab Dhab se khulī haiñ

    lipTā huā sumbul gul-e-aurang meñ dekhā

    us burqe ke uThne pe maiñ ḳhurshīd ko vārūñ

    kyā chāñd muñh kākul-e-shab-rang meñ dekhā

    de jaam chhalaktā huā ai pīr-e-ḳharābāt

    daarū nasha ham ne tirī bang meñ dekhā

    nit jang meñ hai sulh to nit sulh meñ hai jang

    sulh maza ham ne tirī jang meñ dekhā

    pani ki tarah yar ko har rang mein dekha

    manind-e-sharar sina-e-har-sang mein dekha

    zulfen tere chehre pe ajab Dhab se khuli hain

    lipTa hua sumbul gul-e-aurang mein dekha

    us burqe ke uThne pe main KHurshid ko warun

    kya chand sa munh kakul-e-shab-rang mein dekha

    de jam chhalakta hua ai pir-e-KHarabaat

    daru ka nasha hum ne teri bang mein dekha

    nit jang mein hai sulh to nit sulh mein hai jang

    sulh ka maza hum ne teri jang mein dekha

    Source:

    Deewan-e-Ali Nazar (Pg. 65)

      • Publisher: New Zeenat Letho Press, Amroha
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now