Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pani nahin mazid mayassar se kya baid

Bilal Aswad

pani nahin mazid mayassar se kya baid

Bilal Aswad

MORE BYBilal Aswad

    paanī nahīñ mazīd mayassar se kyā ba.iid

    jinping se kyā umiid narendr se kyā ba.iid

    ham taḳht par biThā deñ samajh kar jise husain

    andar se ho yazīd sikandar se kyā ba.iid

    purse ko aa.e aur mirā dard bhaag jaa.e

    phir zaḳhm de shadīd sitamgar se kyā ba.iid

    ḳhvāhish ko vo dikhā de haqīqat aa.ina

    ho har duā shunīd muqaddar se kyā ba.iid

    vo dil dimāġh aur zamānoñ ke qufl

    de de mujhe kalīd qalandar se kyā ba.iid

    jab Dūbne vaqt ho uubne vaqt

    us ho yaar iid samundar se kyā ba.iid

    tujh meñ dikheñ hazār hazāroñ meñ dikhe

    mashkūk jab ho diid to manzar se kyā ba.iid

    'asvad' ajab nahīñ ki rivāyat rahe mudām

    kah de ġhazal jadīd suḳhan-var se kyā ba.iid

    pani nahin mazid mayassar se kya baid

    jinping se kya umid narendr se kya baid

    hum taKHt par biTha den samajh kar jise husain

    andar se ho yazid sikandar se kya baid

    purse ko aae aur mera dard bhag jae

    phir zaKHm de shadid sitamgar se kya baid

    KHwahish ko wo dikha de haqiqat ka aaina

    ho har dua shunid muqaddar se kya baid

    wo dil dimagh aur zamanon ke qufl ki

    de de mujhe kalid qalandar se kya baid

    jab Dubne ka waqt ho ji ubne ka waqt

    us ki ho yar id samundar se kya baid

    tujh mein dikhen hazar hazaron mein tu dikhe

    mashkuk jab ho did to manzar se kya baid

    'aswad' ajab nahin ki riwayat rahe mudam

    kah de ghazal jadid suKHan-war se kya baid

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now