Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panw mara tha pahaDon pe to pani nikla

Saqi Faruqi

panw mara tha pahaDon pe to pani nikla

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    paañv maarā thā pahāḌoñ pe to paanī niklā

    ye vahī jism aahan hai ki miTTī niklā

    mere ham-rāh vahī tohmat-e-āzādī hai

    merā har ahd vahī ahd-e-asīrī niklā

    ek chehra thā ki ab yaad nahīñ aatā hai

    ek lamha thā vahī jaan bairī niklā

    ek maat aisī hai jo saath chalī aatī hai

    varna har chaal se jiite hue baazī niklā

    mauj tarah bahā dard ke dariyāoñ meñ

    is tarah zinda bachā kaun magar niklā

    maiñ ajab dekhne vaalā huuñ ki andhā kahlā.ūñ

    vo ajab ḳhaak putlā thā ki nuurī niklā

    jaan pyārī thī magar jaan se be-zārī thī

    jaan kaam faqat jān-faroshī niklā

    ḳhaak maiñ us judā.ī meñ pareshān phirūñ

    jab ki ye milnā bichhaḌnā mirī marzī niklā

    sirf ronā hai ki jiinā paḌā halkā ban ke

    vo to ehsās mīzān pe bhārī niklā

    ik na.e naam se phir apne sitāre uljhe

    ye nayā khel na.e ḳhvāb baanī niklā

    vo mirī ruuh uljhan sabab jāntā hai

    jism pyaas bujhāne pe bhī raazī niklā

    merī bujhtī huī āñkhoñ se kiran chuntā hai

    merī āñkhoñ khañDar shahr-e-ma.ānī niklā

    merī ayyār nigāhoñ se vafā māñgtā hai

    vo bhī mohtāj milā vo bhī savālī niklā

    maiñ use DhūñD rahā thā ki talāsh apnī thī

    ik chamaktā huā jazba thā ki ja.alī niklā

    maiñ ne chāhā thā ki ashkoñ tamāshā dekhūñ

    aur āñkhoñ ḳhazāna thā ki ḳhālī niklā

    ik na.ī dhuup meñ phir apnā safar jaarī hai

    vo ghanā saaya faqat tifl-e-tasallī niklā

    maiñ bahut tez chalā apnī tabāhī taraf

    us ke chhuTne sabab narm-ḳhirāmī niklā

    ruuh dasht vahī jism vīrāna hai

    har nayā raaz purānā lagā baasī niklā

    sirf hashmat talab jaah ḳhvāhish paa.ī

    dil ko be-dāġh samajhtā thā jazāmī niklā

    ik balā aatī hai aur log chale jaate haiñ

    ik sadā kahtī hai har aadmī faanī niklā

    maiñ vo murda huuñ ki āñkheñ mirī zindoñ jaisī

    bain kartā huuñ ki maiñ apnā saanī niklā

    panw mara tha pahaDon pe to pani nikla

    ye wahi jism ka aahan hai ki miTTi nikla

    mere ham-rah wahi tohmat-e-azadi hai

    mera har ahd wahi ahd-e-asiri nikla

    ek chehra tha ki ab yaad nahin aata hai

    ek lamha tha wahi jaan ka bairi nikla

    ek mat aisi hai jo sath chali aati hai

    warna har chaal se jite hue bazi nikla

    mauj ki tarah baha dard ke dariyaon mein

    is tarah zinda bacha kaun magar ji nikla

    main ajab dekhne wala hun ki andha kahlaun

    wo ajab KHak ka putla tha ki nuri nikla

    jaan pyari thi magar jaan se be-zari thi

    jaan ka kaam faqat jaan-faroshi nikla

    KHak main us ki judai mein pareshan phirun

    jab ki ye milna bichhaDna meri marzi nikla

    sirf rona hai ki jina paDa halka ban ke

    wo to ehsas ki mizan pe bhaari nikla

    ek nae nam se phir apne sitare uljhe

    ye naya khel nae KHwab ka bani nikla

    wo meri ruh ki uljhan ka sabab jaanta hai

    jism ki pyas bujhane pe bhi raazi nikla

    meri bujhti hui aankhon se kiran chunta hai

    meri aankhon ka khanDar shahr-e-maani nikla

    meri ayyar nigahon se wafa mangta hai

    wo bhi mohtaj mila wo bhi sawali nikla

    main use DhunD raha tha ki talash apni thi

    ek chamakta hua jazba tha ki jali nikla

    main ne chaha tha ki ashkon ka tamasha dekhun

    aur aankhon ka KHazana tha ki KHali nikla

    ek nai dhup mein phir apna safar jari hai

    wo ghana saya faqat tifl-e-tasalli nikla

    main bahut tez chala apni tabahi ki taraf

    us ke chhuTne ka sabab narm-KHirami nikla

    ruh ka dasht wahi jism ka virana hai

    har naya raaz purana laga basi nikla

    sirf hashmat ki talab jah ki KHwahish pai

    dil ko be-dagh samajhta tha jazami nikla

    ek bala aati hai aur log chale jate hain

    ek sada kahti hai har aadmi fani nikla

    main wo murda hun ki aankhen meri zindon jaisi

    bain karta hun ki main apna hi sani nikla

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now